Momin - Qata't

Momin - Qata't

Ab Hum Pe Jo Har Ghari Woh Jhunjlaate Hai,
Altaaf-E-Qadim,Ah, Yaad Aate Hain,
Thaa Yaa To Who Lutaf, Yaa Yeh Nafrat, Allah,
Log Aise Bhi Duniya Mein Badal Jaate Hain.

    ----------------------


Momin,Nahin Zuhad-E-Be-Riya Se Umeed,
Kya Sheikh Hoti Kisi Duaa Se Umeed,
Jab Raham Muhabaat Mein Sanam Ne Na Kiya,
Kya Ishq-E-Haqiqi Mein Khuda Se Umeed!

     ----------------------


Ro Ro Ke Kaha Us Se Mulaaqaat Ki Raat,
Ro Ro Ke Kati, Hijar Ki Raaten,Hehaat!
Ab Zikar-E-Shab-Wasal Hai Ahbaab Se, Aur
Rona Hi Zaar Zaar Yeh Hai Kya Baat.

-----------------------

Parwaane Ko Kis Liye Jalaayaa, Ai Shama,
Be Jurm Ko Khaak Mein Milaaya, Ai Shama,
Sar Katne Se Bhi Zara Shararat Na Gai,
Tu Ne To Ghazab Hi Sar Uthaaya, Ai Shama.

 -----------------------


Ahsaan Kiya Agar Sataaya Too Ne,
Qissa Se Nibaah Ke Chhuraaya Too Ne,
Karne Lage Phir Wohi Samajh Ki Baaten,
Baare Hamen Aadmi Banaaya Too Ne.

 -----------------------


Momin, Laazim Hai Wazaa Marghoob Bane,
Jo Rung Ho, Aadmi Khush-Aslub Bane,
Kya Khirqa-O-Amaama Hai Allah, Allah,
Jab Shakal Bigar Gai To Tum Khoob Bane.

   ------------------------


Main Kya Kahun Apne Munh Se Kaise Tum Ho,
Tum Aap Hi Jaante Ho, Jaise Tum Ho,
Harjaai Aur Naa Qadar Adu Ko Na Kaho,
Kah Baithe Koi Mubaadaa Aise Tum Ho

    ------------------------


Yeh Hukum Khudaa Ka, Ke Qatra Mai Ka Na Piyun,
Aur Marzi-E-Jaanaana, Ke Paimaana Piyun,
Tu Bhi Hai Aziz-Ekhaatir, Saqi Bhi,
Hairaan Hun Ke Phir Baada Piyun Yaa Na Piyun.        

   ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>