Nida Fazli - Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Ham Hain

Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Ham Hain


Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Ham Hain
Rukh Hawaaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Ham Hain

Pahle Har Cheez Thi Apani Magar Ab Lagtaa Hai
Apne Hi Ghar Men Kisi Doosre Ghar Ke Ham Hain

Waqt Ke Saath Hai Mitti Ka Safar Sadiyon Tak
Kisko Maaloom Kahan Ke Hain Kidhar Ke Ham Hain

Chalte Rahte Hain Ki Chalna Hai Musaafir Ka Naseeb
Sochte Rahte Hain Ki Kis Raah-Guzar Ke Ham Hain

Gintiyon Men Hi Gine Jaate Hain Har Daur Men Ham
Har Qalam-Kaar Ki Benaam Khabar Ke Ham Hain

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>