Sahir - Jab Kabhi Unki Tawajjo Mein Kami Paayi Gayi

Jab Kabhi Unki Tawajjo Mein

Jab Kabhi Unki Tawajjo Mein Kami Paayi Gayi
Az-Sar-E-Nau Daastaan-E-Shauq Dohraayi Gayi

Bik Gaye Jab Tere Lab Phir Tujh Ko Kyaa Shikwah Agar
Zindgaani Baadah-O-Saaghhar Se Bahlaai Gayi

Ai Gham-E-Duniyaa Tujhe Kyaa Ilm Tere Waaste
Kin Bahaanon Se Tab’eeyat Raah Par Laayi Gayi

Ham Karein Tark-E-Wafaa, Acchhaa Chalo Yoon Hi Sahi
Aur Agar Tark-E-Wafaa Se Bhi Na Ruswaai Gayi?

Kaise Kaise Chashm-O-Aariz Gard-E-Gham Se Bujh Gaye
Kaise Kaise Paikaron Ki Shaan-E-Zaibaayi Gayi

Dil Ki Dhadkan Mein Tawaazun Aa Chala Hai, Khair Ho
Meri Nazrein Bujhh Gayin Yaa Teri Raan’aai Gayi

Un Ka Gham, Un Ka Tasawwur, Un Ke Shikwe Ab Kahaan
Ab To Ye Baatein Bhi Aie Dil Ho Gayin Aayi Gayi

Jurrat-E-Insaan Pe Go Taadib Ke Pahre Rahe
Fitrat-E-Insaan Ko Kab Zanjeer Pahnaai Gayi

Arsa-E-Hastee Mein Ab Tesha-Zanon Ka Daur Hai
Rasm-E-Changezi Uthi To Qaid-E-Durraai Gayi

     ----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>