Sahir - Madaam- Aap Be-Wajah Pareshaan-Si Kyon Hain

Nazm-madaam

Aap Be-Wajah Pareshaan-Si Kyon Hain Maadaam
Log Kahte Hain To Phir Thik Hi Kahte Honge
Mere Ahbaab Ne Tahzib Na Sikhi Hogi
Mere Maahaul Men Insaan Na Rahte Honge

Noor-E-Sarmaayaa Se Hai Roo-E-Tamaddun Ki Jila
Ham Jahaan Hain Wahaan Tahzib Nahin Pal Sakti
Muflisi Hiss-E-Lataafat Ko Mitaa Deti Hai
Bhook Aadaab Ke Saanche Men Nahin Dhal Sakti

Log Kahte Hain To Logon Pe T’ajjub Kaisa
Sach To Kahte Hain Ki Naadaaron Ki Izzat Kaisi
Log Kahte Hain – Magar Aap Abhi Tak Chup Hain
Aap Bhi Kahiye Gharibon Men Sharaafat Kaisi

Nek Maadaam! Bahut Jald Wo Daur Aayegaa
Jab Hamen Zeest Ke Adwaar Parakhne Honge
Apni Zillat Ki Qasam, Aap Ki Azmat Ki Qasam
Hamko Taa’zim Ke Meyaar Parakhne Honge

Hamne Har Daur Men Tazalil Sahi Hai Lekin
Hamne Har Daur Ke Chehre Ko Ziyaa Bakhshi Hai
Hamne Har Daur Men Mehnat Ke Sitam Jhele Hain
Hamne Har Daur Ke Haathon Ko Hinaa Bakhshi Hai

Lekin In Talkh Mubaahis Se Bhala Kya Haasil
Log Kahte Hain To Phir Theek Hi Kahte Honge
Mere Ahbaab Ne Tahazib Na Sikhi Hogi
Mere Maahaul Men Insaan Na Rahate Honge

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>