Sahir -Noor Jahan Ki Mazar Par-Pahloo-E-Shaah Mein Ye Dukhtar

Noor Jahan Ki Mazar Par

Pahloo-E-Shaah Mein Ye Dukhtar-E-Jumhoor Ki Qabr
Kitne Gumgashta Fasaanon Ka Pataa Deti Hai
Kitne Khoonrez Haqaaiq Se Uthaati Hai Naqaab
Kitni Kuchli Hui Jaanon Ka Pataa Deti Hai

Kaise Maghroor Shahan-Shaahon Ki Taskin Ke Liye
Saal-Ha-Saal Haseenaaon Ke Baazaar Lage
Kaise Bahki Hui Nazron Ke Ta’ayyush Ke Liye
Surkh Mahlon Mein Jawaan Jismon Ke Ambaar Lage

Kaise Har Shaakh Se Munh-Band Mahakti Kaliyaan
Noch Li Jaati Thin Taz’in-E-Haram Ki Khaatir
Aur Murjha Ke Bhi Aazaad Na Ho Sakti Thin
Zill-E-Subhaan  Ki Ulfat Ke Bharam Ki Khaatir

Kaise Ik Fard Ke Honton Ki Zaraa Si Jumbish
Sard Kar Sakti Thi Be-Laus Wafaaon Ke Chiraagh
Loot Sakti Thi Damakte Hue Haathon Ka Suhaag
Tor Sakti Thi Mai-E-Ishq Se Labrez Ayaagh

Sahmi-Sahmi Si Fazaaon Mein Ye Weeraan Marqad
Itna Khaamosh Hai, Faryaad-Kunaan Ho Jaise
Sard Shaakhon Mein Hawaa Cheekh Rahi Hai Aise
Rooh-E-Taqdees-O-Wafaa Marsiyaa Khwaan Ho Jaise

Tu Meri Jaan! Mujhe Hairat-O-Hasrat Se Na Dekh
Ham Mein Koi Bhi Jahaanoor-O-Jahaangeer Nahin
Tu Mujhe Chhod Ke Thukraa Ke Bhi Jaa Sakti Hai
Tere Haathon Mein Mire Haath Hain, Zanjeer Nahin

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>