Sahir - Tumhen Udaas Saa Paataa Hoon Main Kai Din Se

Tumhen Udaas Saa Paataa Hoon

Tumhen Udaas Sa Paataa Hoon Main Kai Din Se
Na Jaane Kaun Se Sadme Uthaa Rahi Ho Tum
Wo Shokhiyaan, Wo Tabassum, Wo Qah-Qahe Na Rahe
Har Ek Cheez Ko Hasrat Se Dekhti Ho Tum
Chhupaa Chhupaa Ke Khamoshi Mein Apni Be-Chaini
Khud Apne Raaz Ki Taashir Ban Gai Ho Tum

Meri Ummeed Agar Mit Gai To Mitne Do
Ummeed Kya Hai Bas Ek Pas-O-Pesh Hai Kuchh Bhi Nahin
Meri Hayaat Ki Gham-Geenion Ka Gham Na Karo
Gham Hayaat-E-Gham Yak Naqsh Hai Kuchh Bhi Nahin
Tum Apne Husn Ki Ra'naaion Par Raham Karo
Wafaa Fareb Tul Hawas Hai Kuchh Bhi Nahin

Mujhe Tumhaare Taghaaful Se Kyoon Shikaayat Ho
Meri Fanaa Mere Ehsaas Ka Taqaaza Hai
Main Jaanta Hoon Ke Duniya Ka Khauf Hai Tum Ko
Mujhe Khabar Hai Ye Duniyaa Ajeeb Duniya Hai
Yahaan Hayaat Ke Parde Mein Maut Chalti Hai
Shikast Saaz Ki Aawaaz Mein Roo Naghma Hai

Mujhe Tumhaari Judaai Ka Koi Ranj Nahin
Mere Khayaal Ki Duniya Mein Mere Paas Ho Tum
Ye Tum Ne Theek Kaha Hai Tumhen Milaa Na Karoon
Magar Mujhe Bataa Do Ki Kyoon Udaas Ho Tum
Khafa Na Ho Meri Jurrat-E-Takhaatub Par
Tumhen Khabar Hai Meri Zindagi Ki Aas Ho Tum

Mera To Kuchh Bhi Nahin Hai Main Ro Ke Ji Loongaa
Magar Khudaa Ke Liye Tum Aseer-E-Gham Na Raho
Huaa Hi Kya Jo Zamaane Ne Tum Ko Chheen Liya
Yahaan Par Kaun Huaa Hai Kisi Ka Socho To
Mujhe Qasam Hai Meri Dukh Bhari Jawaani Ki
Main Khush Hoon Meri Mohabbat Ke Phool Thukara Do

Main Apni Rooh Ki Har Ek Khushi Mita Loonga
Magar Tumhaari Masarrat Mita Nahin Saktaa
Main Khud Ko Maut Ke Haathon Men Saunp Saktaa Hoon
Magar Ye Baar-E-Musaaib Uthaa Nahin Saktaa
Tumhaare Gham Ke Siwaa Aur Bhi To Gham Hain Mujhe
Nijaat Jin Se Main Ek Lahaza Paa Nahin Saktaa

Ye Oonche Oonche Makaanon Ki Deewaaron Ke Tale
Har Gaam Pe Bhookhe Bhikaariyon Ki Sadaa
Har Ek Ghar Mein Aflaas Aur Bhookha Shor
Har Ek Simt Ye Insaaniyat Ki Aah-O-Bukaa
Ye Kaarkhaanon Mein Lohe Ka Shor-O-Ghul Jis Mein
Hai Dafn Laakhon Ghareebon Ki Rooh Ka Naghma

Ye Shah-Rahon Pe Rangeein Sadion Ki Jhalak
Ye Jhonpdiyon Mein Ghareebon Ki Be-Kafan Laashen
Ye Maal Road Pe Kaaron Ki Rail-Pail Ka Shor
Ye Patriyon Pe Gharibon Ke Zard-Roo Bachche
Gali Gali Mein Bikte Huey Jawaan Chehre
Haseen Aankhon Mein Afsurdagi Si Chhaai Hui

Ye Jang Aur Ye Mere Watan Ke Shokh Jawaan
Kharidi Jaati Hain Uthti Jawaaniyaan Jin Ki
Ye Baat Baat Pe Qaanoon Aur Zaabte Ki Giraft
Ye Zisq Ye Ghulaami Ye Daur-E-Majboori
Ye Gham Hain Bahot Meri Zindagi Mitaane Ko
Udaas Rah Ke Mere Dil Ko Aur Ranj Na Do

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>