Shahar Main Dhoond Raha Hoon Ke Sahaara De De - Rahat Indori

Shahar Main Dhoond Raha Hoon

Shahar Main Dhoond Raha Hoon Ke Sahaara De De
Koi Haatim Jo Mere Haath Main Kaasa De De

Ped Sab Nange Faqiron Ki Tarah Sehme Hain
Kis Se Ummeed Ye Ki Jaaye Ki Saaya De De

Waqt Ki Sang-Zani Noch Gai Saare Naqush
Ab Wo Aaina Kahaan Jo Mera Chehra De De

Dushmanon Ki Bhi Koi Baat To Sach Ho Jaaye
Aa Mere Dost Kisi Din Mujhe Dhoka De De

Main Bahut Jald Hi Ghar Laut Ke Aa Jaaonga
Meri Tanhaai Yahaan Kuch Dino Pehra De De

Dub Jaana Hi Muqadar Hai To Behtar Warna
Tune Patvaar Jo Chini Hai To Tinka De De

Jis Ne Qatron Ka Bhi Mohtaaj Kiya Mujh Ko
Wo Agar Josh Main Aa Jaaye To Dariya De De

Tum Ko “Rahat” Ki Tabiyat Ka Nahin Andaza
Wo Bikhari Hai Magar Maango To Duniya De De

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>