Shakeel - Bas Ik Nigaah-E-Karam Hai Kaafi Agar Unhen

Bas Ik Nigaah-E-Karam Hai Kaafi

 Bas Ik Nigaah-E-Karam Hai Kaafi Agar Unhen Pesh-O-Pas Nahin Hai
Zaahe Tamanna Ki Meri Fitrat Asir-E-Hirs-O-Havas Nahin Hai

Nazar Se Sayyad Dur Ho Jaa Yahan Tera Mujh Pe Bas Nahin Hai
Chaman Ko Barbaad Karane Waale Ye Aashiyaan Hai Qafas Nahin Hai

Kisi Ke Jalwe Tadap Rahe Hain Hudood-E-Hosh-O-Khirad Ke Aage
Hudood-E-Hosh-O-Khirad Ke Aage Nigaah Ke Dastaras Nahin Hai

Jahan Ki Nayarangiyon Se Yaksar Badal Gai Aashiyaan Ki Surat
Qafas Samajhti Hain Jin Ko Nazarain Vo Dar-Haqiiqat Qafas Nahin Hai

Kahan Ke Naale Kahan Ki Aahen Jami Hain Un Ki Taraf Nigahain
Kuch Is Qadar Mahv-E-Yaad Hoon Main Ki Fursat-E-Yak-Nafas Nahin Hai

Tasavvur-E-Ishrat-E-Guzishta Ka Husn-E-Taasir Allah Allah
Vahi Fazaayain Vahi Hawaain Chaman Se Kuch Kam Qafas Nahin Hai

Kisi Ke Be'etanaaiyon Ne Badal Hi Daala Nizaam-E-Gulshan
Jo Baat Pahle Bahaar Main Thi Wo Baat Ab Ke Baras Nahin Hai

Ye Buu-E-Sumbul, Ye Khaanda Gul Aur Aah! Ye Dard Bhari Sadain
Qafas Ke Andar Chaman Ho Shaayad Chaman Ke Andar Qafas Nahin Hai

Na Hosh-E-Khilvat Na Fikr-E-Mehafil Ayaan Ho Ab Kis Pe Haalat-E-Dil
Main Aap Hi Apnaa Ham-Nafas Hoon Mera Koi Ham-Nafas Nahin Hai

Karain Bhi Kya Shikawa-E-Zamana Kahain Bhi Kya Dard Ka Fasana
Jahaan Main Hain Laakh Dushman-E-Jaan Koi Masiha Nafas Nahin Hai

Suni Hai Ahal-E-Junoon Ne Aksar Khamoshi-E-Marg Ki Sadaain
Suna Ye Tha Kaarvan-E-Hasti Rahin-E-Baang-E-Jaras Nahin Hai

Chaman Ki Aazadiyaan Muakhkhar Tasavvur-E-Aashiyan Muqaddam
Gam-E-Asirihai Na-Mukammal Agar Gam-E-Khaar-O-Khas Nahin Hai

Na Kar Mujhe Sharmsaar Naaseh Main Dil Se Majaboor Hoon Ki Jis Ka
Hai Yoon To Kaun-O-Makaan Pe Qaabu Magar Mohabbat Pe Bas Nahin Hai

Kahaan Wo Ummeed Aamad Aamad Kahan Ye Ifaae Ahad-E-Farda
Jab Aitbaar-E-Nazar Na Tha Kuch Ab Aitbaar-E-Nafas Nahin Hai

Vahin Hain Naghmain Vahi Hai Naale Sun Ai Mujhe Bhool Jaane Waale
Teri Samaat Se Door Hoon Main Jabhi To Naalon Main Ras Nahin Hai

"Shakeel" Duniya Main Jis Ko Dekha Kuch Us Ki Duniya Hi Aur Dekhi
Hazaar Naqqaad-E-Zindegi Hain Magar Koi Nuktaaras Nahin Hai

 -------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>