Shakeel - Gham-E-Ashiqi Se Keh Do Rah-E-Aam Tak Na Pahunche

Gham-E-Ashiqi Se Keh Do

 Gham-E-Ashiqi Se Keh Do Rah-E-Aam Tak Na Pahunche
Mujhe Khauf Hai Ye Tohmat Mere Naam Tak Na Pahunche

Main Nazar Se Pee Raha Tha To Ye Dil Ne Baddua Di
Tera Haath Zindegi Bhar Kabhi Jaam Tak Na Pahunche

Nai Subah Par Nazar Hai Magar Aah Ye Bhi Dar Hai
Ye Sahar Bhi Rafta Rafta Kahin Shaam Tak Na Pahunche

Wo Nava-E-Muzamahil Kya Na Ho Jis Main Dil Ki Dhadkan
Wo Sadaa-E-Ahale-Dil Kya Jo Awaam Tak Na Pahunche

Unhen Apne Dil Ki Khabrain Mere Dil Se Mil Rahi Hain
Main Jo Unse Ruth Jaaon To Payaam Tak Na Pahunche

Ye Adaa-E-Beniaazi Tujhe Bewafa Mubarak
Magar Aisi Berukhi Kya Ke Salaam Tak Na Pahunche

Jo Naqaab-E-Rukh Utha Di To Ye Qaid Bhi Laga Di
Uthe Har Nigaah Lekin Koi Baam Tak Na Pahunche

Wahi Ik Khamosh Naghma Hai "Shakeel" Jaan-E-Hasti
Jo Zubaan Tak Na Aaye Jo Qalam Tak Na Pahunche

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>