Shakeel - Zindagi Ka Dard Lekar Inqalaab Aayaa To Kyaa

Zindagi Ka Dard Lekar Inqalaab Aayaa To Kyaa


Zindagi Ka Dard Lekar Inqalaab Aayaa To Kyaa
Ek Josheeda Pe Ghurbat Men Shabaab Aayaa To Kyaa

Ab To Aankhon Par Gham-E-Hasti Ke Parde Pad Gaye
Ab Koi Husn-E-Mujassim Be-Naqaab Aayaa To Kyaa

Khud Chale Aate To Shaayad Baat Ban Jaati Koi
Baad Tark-E-Aashiqi Khat Kaa Jawaab Aayaa To Kyaa

Muddaton Bichhde Rahe Phir Bhi Gale To Mil Liye
Ham Ko Sharm Aayi To Kya Un Ko Hijaab Aayaa To Kyaa

Ek Tajalli Se Munawwar Keejiye Qatl-E-Hayaat
Har Tajalli Par Dil-E-Khaanaa-Kharaab Aayaa To Kyaa

Matalaa-E-Hasti Ki Saazish Dekhte Ham Bhi 'Shakeel'
Ham Ko Jab Neend Aa Gayi Phir Maahtaab Aayaa To Kyaa

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>