Adam - Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye

 Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye

Bijli Gire To Jashn-E-Charaghaan Manaayiye

Kaliyon Ke Ang Ang Mein Meetha Saa Dard Hai
Beemaar Nikhaton Ko Zara Gudgudaayiye

Kab Se Sulag Rahi Hai Javaani Ki Garm Raat
Zulfen Bikher Kar Mere Pahloo Men Aayiye

Bahki Hui Siyaah Ghataaon Ke Saath Saath
Jee Chaahta Hai Shaam-E-Abad Tak To Jaayiye

Sun Kar Jise Havaas Mein Thandhak Si Aa Base
Aisi Koi Udaas Kahaani Sunaayiye

Raste Pe Har Qadam Pe Kharaabaat Hain "Adam"
Ye Haal Ho To Kis Tarah Daaman Bachaayiye

----------------

Post a Comment

0 Comments

–>