Ahmad Nadeem Qasmi - Kaun Kahataa Hai Ke Maut Aai To Mar Jaunga

 
Kaun Kahataa Hai Ke Maut Aai To Mar Jaunga
Main To Dariya Hun Samandar Mein Utar Jaungaa

Tera Dar Chhor Ke Main Aur Kidhar Jaungaa
Ghar Mein Ghir Jaunga Sahara Mein Bikhar Jaungaa

Tere Pahaloo Se Jo Uthoon Gaa To Mushkil Ye Hai
Sirf Ik Shakhs Ko Paaunga Jidhar Jaaungaa

Ab Tere Shahar Mein Aaunga Musaafir Ki Tarah
Saayaa-E-Abr Ki Maanind Guzar Jaaungaa

Teraa Paimaan-E-Vafaa Raah Ki Deevaar Banaa
Varna Socha Tha Ke Jab Chahunga Mar Jaaungaa

Chaara-Saazon Se Alag Hai Meraa Mayaar Ke Main
Zakhm Khaaunga To Kuch Aur Sanvar Jaaungaa

Ab To Khurshid Ko Dube Hue Sadiyan Guzarin
Ab Use Dhudhne Main Taa-Ba-Sahar Jaaungaa

Zindagi Shamma Ki Manind Jalaata Hun `Nadeem`
Bujh To Jaaunga Magar Subah To Kar Jaaungaa

 -------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>