Ahmad Nadeem Qasmi - Lab-E Khaamosh Se Afshaa Hogaa


Lab-E Khaamosh Se Afshaa Hogaa
Raaz Har Rang Mein Rusvaa Hogaa

Dil Ke Saharaa Mein Chali Sard Havaa
Abr Gulzaar Pe Barsaa Hogaa

Tum Nahin The To Sar-E-Baam-E-Khayaal
Yaad Kaa Koi Sitaaraa Hogaa

Kis Tavaqqo Pe Kisi Ko Dekhen
Koi Tum Se Bhi Hasin Kyaa Hogaa

Zeenat-E-Halqaa-E-Aaghosh Bano
Door Baitho Ge To Charchaa Hogaa

Zulmat-E-Shab Mein Bhi Sharmaate Ho
Dard Chamkegaa To Phir Kyaa Hogaa

Jis Bhi Fankaar Ka Shaahkaar Ho Tum
Us Ne Sadiyon Tumhen Sochaa Hogaa

Kis Qadar Karb Se Chataki Hai Kali
Shaakh Se Gul Koi Tootaa Hogaa

Umr Bhar Roye Faqat Is Dhun Mein
Raat Beeti To Ujaalaa Hogaa

Saari Duniyaa Hamen Pahchaanti Hai
Koi Ham-Saa Bhi Na Tanhaa Hogaa

  --------------------

Post a Comment

0 Comments

–>