Hasrat Mohani - Dil Ko Khayaal-E-Yaar Ne Makhmoor Kar Diyaa

Dil Ko Khayaal-E-Yaar Ne Makhmoor Kar Diya

Dil Ko Khayaal-E-Yaar Ne Makhmoor Kar Diyaa
Saaghar Ko Rang-E-Baadaa Ne Pur-Noor Kar Diyaa

Maayoos Ho Chalaa Thaa Tasalli Se Haal-E-Dil
Phir Too Ne Yaad Aa Ke Ba-Dastoor Kar Diyaa

Gustaakh-Dastion Ka Na Thaa Mujh Men Hauslaa
Lekin Hujoom-E-Shauq Ne Majboor Kar Diyaa

Kuch Aisi Ho Gayi Hai Tere Gham Ki Mubtilaa
Goyaa Kisi Ne Jaan Ko Mashoor Kar Diyaa

Betaabion Se Chhup Na Sakaa Maajraa-E-Dil
Aakhir Huzoor-E-Yaar Bhi Mazkoor Kar Diyaa

Ahl-E-Nazar Ko Bhi Nazar Aaya Na Roo-E-Yaar
Yaan Tak Hijaab-E-Yaar Ne Mastoor Kar Diyaa

“Hasrat” Bahut Hai Martabaa Aashiqui Buland
Tujh Ko To Muft Logon Ne Mashhoor Kar Diyaa

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>