Hasrat Mohani - Hai Mashq-E-Sukhan Jaari Chakki Ki

Hai Mashq-E-Sukhan Jaari Chakki Ki

Hai Mashq-E-Sukhan Jaari Chakki Ki Mushaqqat Bhi
Ek Turfaa Tamaashaa Hai "Hasrat" Ki Tabiyat Bhi

Jo Chaaho Sazaa De Do Tum Aur Bhi Khul Khelo
Par Ham Se Qasam Le Lo Ki Ho Jo Shikaayat Bhi

Khud Ishq Ki Gustaakhi Sab Tujh Ko Sikhaa Degi
Ai Husn-E-Hayaa-Parwar Shokhi Bhi Sharaat Bhi

Ushaaq Ke Dil Naazuk Us Shokh Ki Khoo Naazuk
Naazuk Isi Nisabat Se Hai Kaar-E-Muhabbat Bhi

Ai Shauq Ki Bebaaki Wo Kyaa Teri Khvaahish Thi
Jis Par Unhen Gussaa Hai Inkaar Bhi Hairat Bhi

Hain 'Shad'-O-'Safi' Shaayar Yaa 'Shauq'-O-'Wafa' "Hasrat"
Phir 'Danish'-O-'Mahashar' Hain 'Iqbal' Bhi 'Wahashat' Bhi

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>