Iqbal Azim - Hansna Nahin Aata Mujhe, Ye Baat Nahin Hai

Hansna Nahin Aata Mujhe

Hansna Nahin Aata Mujhe, Ye Baat Nahin Hai
Shaaid Tumhain Andaza-E Haalaat Nahin Hai

Ye Kaise Kahoon, Un Se Main Waqif Hi Nahin Hoon
Haan, Door Se Dekha Hai, Mulaqaat Nahin Hai

Shikwe To Unhen Mujh Se Hamesha Hi Rahe Hain
Mere Liye Ye Koi Nai Baat Nahin Hai

Yoon Un Se Mulaqaat To Ho Jaati Hai Aksar
Bas Silsila-E Pursish-E Haalaat Nahin Hai

Namoos-E Mohabbat Ka Tahaffuz Hai Badi Baat
Khud Apna Ziyaan, Koi Badi Baat Nahin Hai

Be-Noor Ujaloon Ko Seher Kaise Samajh Loon
Tum Laakh Kahe Jaajo Ke Ab Raat Nahin Hai

Iqbal, Bura Kehte Ho Tum Dil-Shikani Ko
Is Daur Main Ye Baat, Koi Baat Nahin Hai

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>