Iqbal Azim - Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha, Sar-E Bazm Raat Ye Kiya Huwa

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha, Sar-E Bazm Raat Ye Kiya Huwa
Meri Aankh Kaise Chalak Gai, Mujhe Ranj Hai Ye Bura Huwa

Meri Zindagi K Charagh Ka Ye Mizaaj Koi Naya Nahin
Abhi Roshni Abhi Teergi, Na Jala Huwa Na Bujha Huwa

Mujhe Jo Bhi Dushman-E Jaan Mila, Wohi Pukhta Kaar-E Jafa Mila
Na Kisi Ki Zarb Ghalat Pari Na Kisi Ka Teer Khata Huwa

Mujhe Aap Kiyu Na Samajh Sake, Kabhi Apne Dill Se Bhi Pochiye
Meri Dastaan-E Hayaat Ka To Waraq Waraq Hai Khula Huwa

Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gay Merey Saamne Se Abhi Abhi
Ye Mery Hi Shehr Ke Log They, Merey Ghar Se Ghar Hai Milaa Huwa

Humain Is Ka Koi Bhi Huq Nahin Ke Shareek-E Bazm-E-Kholoos Hon
Na Humarey Paas Naqaab Hai, Na Kuch Aasteen Main Chupa Huwa

Merey Ek Gosha-E Fikr Main, Meri Zindagi Se Aziz Tar
Mera Ek Aisa Bhi Dost Hai, Jo Kabhi Mila Na Juda Huwa

Mujhe Ik Gali Main Para Huwa, Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E Dill Se Likha Huwa, Kahin Aansuon Se Mita Huwa

Mujhe Hum-Safar Bhi Mila Koi To Shikasta Haal Meri Tarah
Kai Manziloon Ka Thaka Huwa, Kaheen Raaste Main Luta Huwa

Humain Apney Ghar Se Chaley Huwe, Sar-E Raah Umr Guzar Gai
Koi Justuju Ka Sila Mila, Na Safar Ka Huq Hi Ada Huwa

--------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>