Iqbal Azim - Ye Baat Alag Hai Ke Aankhon Ke Band Toot Gaye


Ye Baat Alag Hai Ke Aankhon Ke Band Toot Gaye
Magar Zubaan Se Kabhi Hum Ne Kuch Kaha To Nahin

Khata To Jab Hai Ke Hum Arz-E-Muda’a Bhi Karen
Kisi Ko Chahte Rehna Koi Khata To Nahin

Naseeb Kaise Badal Dey Koi Safeene Ka
Jo Na Kuda Hai Woh Sab Kuch Sahi Khuda To Nahin

Jo Baat Dil Mein Hai Be-Khauf Kyun Nahin Kehte
Zubaan-O-Qalb Mein Kuch Aisa Faasla To Nahin

Ye Kaun Hai Be-His-O-Harkat Pada Hai Saahil Per
Chalo Qareeb Se Dekhen Woh Naa-Khuda To Nahin

Na Janay Qafle Waale Khafa Hain Kyun Mujh Se
Main Sirf Ek Musaafir Hoon Rah-Numa To Nahin

Hazoor Aap Ne ‘Iqbal’ Ko Ghalat Samjha
Woh Paarsa Hai Magar Aadmi Bura To Nahin

----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>