Kafi Azmi - Ab Tamaddun Ki Ho Ye Jeet Ke Haar

 Ab Tamaddun Ki Ho Ye Jeet Ke Haar


Ab Tamaddun Ki Ho Ye Jeet Ke Haar
Mera Maazi Hai Abhi Tak Mere Kaandhe Pe Sawaar


Padta Rahta Hai Mere Maazi Ka Saaya Mujh Par
Daur-E-Khoon-Khwaari Se Guzra Hoon, Chhupaaoon Kyunkar
Daant Sab Khoon Mein Doobe Nazar Aate Hain Mujhe


Mal Liyaa Maathe Pe Tehzeeb Ka Ghaala Lekin
Barbariyat Ka Hai Jo Daagh, Wo Chhoota Hi Nahin
Gaaon Aabaad Kiye, Shehr Basaaye Hum Ne
Rishta Jangal Se Jo Apna Thha, Wo Toota Hi Nahin


-----------------

Post a Comment

0 Comments

–>