Kaifi - Aaj Ki Raat Bahut Garam Hawa Chalti Hai

aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai



Aaj Ki Raat Bahut Garam Hawa Chalti Hai
Aaj Ki Raat Na Neend Aayegi

Hum Sub Uthen, Main Bhi Uthun, Tum Bhi Utho
Koi Khidki Isi Deewar Mein Khul Jayegi

Sunaa Karo Meri Jaan In Se Un Se Afsaane
Sab Ajnabi Hain Yahaan Kaun Kis Ko Pahchaane

Yahaan Se Jald Guzar Jaao Qaafile Vaalon
Hain Meri Pyaas Ke Phoonke Hu’e Ye Veeraane

Meri Junoon-E-Parastish Se Tang Aa Gaye Log
Sunaa Hai Band Kiye Jaa Rahe Hain But-Khaane

Jahaan Se Pichhle Pahar Ko’i Tashnaa-Kaam Uthaa
Vahin Pe Tode Hain Yaaron Ne Aaj Paimaane

Bahaar Aaye To Meraa Salaam Kah Denaa
Mujhe To Aaj Talab Kar Liyaa Hai Sehraa Ne

Hu’aa Hai Hukm Ke “Kaifi” Ko Sang-Saar Karo
Masih Baithe Hain Chhup Ke Kahaan Khudaa Jaane


----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>