Parveen Shakir - Apni Rusavaai Tere Naam Ka Charchaa Dekhoon


Apni Rusavaai Tere Naam Ka Charchaa Dekhoon
Ek Zaraa Sher Kahoon Aur Main Kya Kya Dekhoon

Neend Aa Jaaye To Kya Mahfilen Barpaa Dekhoon
Aankh Khul Jaaye To Tanhaai Ka Sahra Dekhoon

Shaam Bhi Ho Gai Dhundhlaa Gai Aankhen Bhi Meri
Bhoolne Vaale Main Kab Tak Teraa Rastaa Dekhoon

Sab Ziden Us Ki Main Poori Karoon Har Baat Sunoon
Ek Bachche Ki Tarah Se Use Hanstaa Dekhoon

Mujh Pe Chhaa Jaaye Wo Barasaat Ki Khushboo Ki Tarah
Ang Ang Apnaa Usi Rut Men Mahaktaa Dekhoon

Too Meri Tarah Se Yaktaa Hai Magar Mere Habib
Ji Men Aataa Hai Koi Aur Bhi Tujh Saa Dekhoon

Main Ne Jis Lamhe Ko Poojaa Hai Use Bas Ek Baar
Khvaab Ban Kar Teri Aankhon Men Utartaa Dekhoon

Too Meraa Kuchh Nahin Lagtaa Hai Magar Jaan-E-Hayaat
Jaane Kyon Tere Liye Dil Ko Dhadaktaa Dekhoon

----------------

Post a Comment

0 Comments

–>