Parveen Shakir - Ghar Ki Yaad Bhi Hai Aur Darpesh Safar Bhi Hai

Ghar Ki Yaad Bhi Hai Aur Darpesh

Ghar Ki Yaad Bhi Hai Aur Darpesh Safar Bhi Hai
Chauthi Samt Nikal Jaane Ka Dar Bhi Hai

Lamha-E-Rukhsat Ke Goonge Sannaate Ki
Ek Gawaah To Uski Chashm-E-Tar Bhi Hai

Ishq Ko Khud Daryuzgari Manzoor Nahin
Maangne Par Aaye To Kaasa-E-Sar Bhi Hai

Naye Safar Pe Chalte Huye Yeh Dhyan Rahe
Raste Mein Deewaar Se Pehle Dar Bhi Hai

Jin Cheezon Ko Hara Rehne Ki Dua Thi
Un Mein Aaj Se Shaamil Zakhm-E-Hunar Bhi Hai

Bahut Se Naamon Ko Apne Seene Mein Chhupaaye
Jali Huyi Basti Mein Ek Shajar Bhi Hai

Wahi Khayaal Ke Aankhon Tak Reh Jaaye To Ashq
Misra-E-Tar Ban Jaaye To Silk-E-Guhar Bhi Hai

Sookh Gaya Khud Apne Dil Ki Name Se
Ped Ko Kya Maloom Tha, Bel Amar Bhi Hai

--------------------

Post a Comment

0 Comments

–>