Parveen Shakir - Kuchh To Hava Bhi Sard Thi Kuchh Tha Tera Khayal Bhi

Kuchh To Havaa Bhi Sard Thi Kuchh Tha

Kuchh To Hava Bhi Sard Thi Kuchh Tha Tera Khayaal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malaal Bhi

Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chaand Ki
Chaand Bhi Ain Chet Ka, Us Pe Tera Jamaal Bhi

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo, Mujh Ko Aise Dekhte
Ek Dafa To Ruk Gai, Gardish-E-Maah-O-Saal Bhi

Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo
Shisha-Garaan-E-Shahar Ke, Haath Ka Ye Kamaal Bhi

Us Ko Na Paa Sake The Jab, Dil Ka Ajeeb Haal Tha
Ab Jo Palat Ke Dekhiye, Baat Thi Kuchh Muhaal Bhi

Meri Talab Tha Ek Shakhs, Wo Jo Nahin Milaa To Phir
Haath Duaa Se Yoon Giraa, Bhool Gayaa Savaal Bhi

Shaam Ki Naasamajh Havaa, Poochh Rahi Hai Ik Pataa
Mauj-E-Havaa-E-Koo-E-Yaar, Kuchh To Meraa Khayaal Bhi

Us Ke Hi Baazuon Men Aur, Us Ko Hi Sochte Rahe
Jism Ki Khwahishon Pe They, Rooh Ke Aur Jaal Bhi

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>