Parveen Shakir - Mushkil Hai Ab Shahar Men Nikle Koi Ghar Se

 
Mushkil Hai Ab Shahar Men Nikle Koi Ghar Se
Dastaar Pe Baat Aa Gai Hai Hoti Hui Sar Se

Barsa Bhi To Kis Dasht Ke Be-Faiz Badan Par
Ik Umr Mere Khet The Jis Abr Ko Tarse

Is Baar Jo Eendhan Ke Liye Kat Ke Giraa Hai
Chidiyon Ko Badaa Pyaar Tha Us Boodhe Shajar Se

Mehnat Meri Aandhi Se To Mansoob Nahin Thi
Rahnaa Tha Koi Rabt Shajar Kaa Bhi Samar Se

Khud Apne Se Milne Ka To Yaaraa Na Thaa Mujh Men
Main Bheed Men Gum Ho Gai Tanhaai Ke Dar Se

Benaam Musaafat Hi Muqaddar Hai To Kya Gham
Manzil Kaa Ta'yyun Kabhi Hotaa Hai Safar Se

Patthraaya Hai Dil Yoon Ki Koi Ism Padhaa Jaaye
Ye Shahar Nikaltaa Nahin Jaadoo Ke Asar Se

Nikle Hain To Raste Men Kahin Shaam Bhi Hogi
Sooraj Bhi Magar Aaye Ga Is Raah-Guzar Se

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>