Parveen Shakir - Qaid Mein Guzregi Jo Umr Bade Kaam Ki Thi

Qaid Mein Guzregi Jo Umr Bade Kaam Ki Thi

Qaid Mein Guzregi Jo Umr Bade Kaam Ki Thi
Par Main Kya Karti Ke Zanjeer Tere Naam Ki Thi

Jiske Maathe Pe Mere Bakht Ka Taara Chamka
Chaand Ke Doobne Ki Baat Usi Shaam Ki Thi

Maine Haathon Ko Hi Patwaar Banaaya Warna
Ek Tooti Huyi Kashti Mere Kis Kaam Ki Thi

Woh Kahaani Ke Sabhi Suiyaan Nikli Bhi Na Thi
Fikr Har Shakhs Ko Shehzaadi Ke Anjaam Ki Thi

Yeh Hawa Kaise Uda Le Gayi Aanchal Mera
Yun Sataane Ki To Aadat Mere Ghanshyaam Ki Thi

Bojh Uthaaye Huye Phirti Hai Hamaara Ab Tak
Aye Zameen Maa ! Teri Yeh Umr To Aaraam Ki Thi

----------------

Post a Comment

0 Comments

–>