Parveen Shakir - Sabz Maddham Roshni Men Surkh Aanchal Ki Dhanak

Sabz Maddham Roshni Men Surkh Aanchal

Sabz Maddham Roshni Men Surkh Aanchal Ki Dhanak
Sard Kamre Men Machalti Garm Saanson Ki Mahak

Baazuon Ke Sakht Halqe Men Koi Naazuk Badan
Silvaten Malboos Par Aanchal Bhi Kuchh Dhalkaa Huaa

Garmi-E-Rukhsaar Se Dahki Hui Thandi Havaa
Narm Zulfon Se Mulaayam Ungliyon Ki Chhed Chhaad

Surkh Honthon Par Sharaarat Ke Kisi Lamhe Ka Aks
Reshmi Baahon Men Choodi Ki Kabhi Maddham Khanak

Sharmagin Lehjon Men Dhire Se Kabhi Chaahat Ki Baat
Do Dilon Ki Dhadkanon Men Goonjti Thi Ek Sadaa

Kaanpte Honthon Pe Thi Allaah Se Sirf Ek Duaa
Kaash Ye Lamhe Thahar Jaayen Thahar Jaayen Zaraa 

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>