Parveen Shakir - Usi Tarah Se Har Ek Zakhm Khushnuma Dekhe

Usi Tarah Se Har Ek Zakhm

Usi Tarah Se Har Ek Zakhm Khushnuma Dekhe
Woh Aaye To Mujhe Bhi Ab Hara Bhara Dekhe

Guzar Gaye Hain Bahut Din Rafaqat-E-Shab Mein
Ik Umr Ho Gayi Hai Chehra Woh Chaand Sa Dekhe

Mere Sukoot Se Jisko Gile Rahe Kya Kya
Bichhadte Waqt Un Aankhon Ka Bolna Dekhe

Tere Siwa Bhi Kayi Rang Khush Nazar The Magar
Jo Tujhko Dekh Chuka Ho Woh Aur Kya Dekhe

Bas Ek Ret Ka Zarra Bacha Tha Aankhon Mein
Abhi Talak Jo Musafir Ka Raasta Dekhe

Usi Se Pooche Koi Dasht Ki Rafaqat Jo
Jab Aankh Khole, Pahaadon Ka Silsila Dekhe

Tujhe Azeez Tha Aur Maine Usko Jeet Liya
Meri Taraf Bhi To Ek Pal Tera Khuda Dekhe

 -------------

Post a Comment

0 Comments

–>