Suroor - Ai Junoon Kuchh To Khule Aakhir Main Kis Manzil Mein Hoon

Ai Junoon Kuchh To Khule

Ai Junoon Kuchh To Khule Aakhir Main Kis Manzil Mein Hoon
Hoon Jawaar-E-Yaar Mein Ya Koocha-E-Qaatil Mein Hoon

Paa-Bajola Apne Shaanon Par Liye Apni Saleeb,
Main Safeer-E-Haq Hoon Lekin Nargha-E-Baatil Mein Hoon

Jashn-E-Farda Ke Tasavvur Se Lahoo Gardish Mein Hai,
Haal Mein Hoon Aur Zinda Apne Mustaqbil Mein Hoon

Dum Bakhud Hoon Ab Sare-Maqtal Ye Manzar Dekh Kar,
Main Ke Khud Maqtool Hoon Lekin Saf-E-Qaatil Mein Hoon

Ek Zamaana Ho Gaya Bichhre Hue Jis Se ‘Suroor’,
Aaj Usi Ke Saamne Hoon Aur Bhari Mehfil Mein Hoon.

--------------------

Post a Comment

0 Comments

–>