Zauq - Jeena Nazar Apna Hamen Aisa Nahin Aata

Jeena Nazar Apna Hamen

Jeena Nazar Apna Hamen Aisa Nahin Aata,
Gar Aaj Bhi Woh Rashk-E-Masiha Nahin Aata

Mazkoor Teri Bazm Mein Kiska Nahin Aata,
Par Zikr Hamara Nahin Aata, Nahin Aata

Aata Hai Dam Aankhon Mein Dam-E-Hasrat-E-Deedar,
Par Lab Pe Kabhi Harf-E-Tamannaa Nahin Aata

Be Ja Hai Gila, Us Ke Na Aane Ki Shikaayat,
Kya Kijieye Ga, Farmaieye, Achha Nahin Aata

Qismat Se Hi Laachar Hun, Ai ‘Zauq’, Wa Garna,
Sab Fan Mein Hun Main Taaq, Mujhe Kya Nahin Aata

-----------------

Post a Comment

0 Comments

–>