Harf Harf Rat Kar Bhi Aagahi Nahin Milti- Manzar Bhopali



Harf Harf Rat Kar Bhi Aagahi Nahin Milti
Aag Naam Rakhne Se Raushni Nahin Milti

Sochne Samajhne Ko Faasilaa Hi Behtar Hai
Raat Din Ki Qurbat Se Dosti Nahin Milti

Mithi Mithi Baaton Men Sirf Sach Nahin Hota
Maslehat-Pasandon Men Sar-Kashi Nahin Milti

Aadmi Se Insaan Tak Aa Gaye To Samjho Ge
Kyon Chiraagh Ke Neeche Roshni Nahin Milti

Be-Libaas Hone Se Bach Gaya To Kya “Manzar”
Aaj Gaanv Men Kal Ki Saadgi Nahin Milti

-------------- ------------

Post a Comment

0 Comments

–>