Meer Anees - Jab Qata Ki Masafat-E-Shab Aaftaab Ne

Jab Qata Ki Masafat-E-Shab Aaftaab Ne

Karbala1

Jab Qata Ki Masafat-E-Shab Aaftaab Ne
Jalwa Kiya Sahar Ke Rukhe Be-Hijaab Ne
Dekha Soo-E-Falak Shah-E-Gardoon Raqaab Ne
Mud Kar Sada Rafeeqon Ko Di Us Janaab Ne
Aakhir Hai Raat Hamd-O-Sanaa-E-Khuda Karo
Utho Fareeza-E-Sahri Ko Ada Karo
    
Haan Ghaaziyon Ye Din Hai Jidaal-O-Qitaal Ka
Yaan Khoon Bahega Aaj Mohammad Ki Aal Ka
Chehra Khushi Se Surkh Hai Zahra Ke Laal Ka
Guzri Shabe Firaaq Din Aaya Visaal Ka
Hum Wo Hain Gham Karenge Malak Jin Ke Waaste
Raatein Tadap Ke Kaati Hain Is Din Ke Waaste

Ye Sun Ke Bistaron Se Uthe Wo Khuda-Shinaas
Ek Ek Ne Zeb-E-Jism Kiya Fakhira Libaas
Shane Muhasinon Mein Kiye Sab Ne Be Hiraas
Baandhe Amaame Aaye Imam-E-Zaman Ke Paas
Rangeen Abaayein Dosh Pe Kamre Kase Huwe
Muskh-O-Zibaad- O-Itr Mein Kapde Basey Huwe

Khaime Se Nikle Sheh Ke Azeezaan-E-Khush-Khisaal
Jin Mein Kayi Thay Hazrat-E-Khairun Nisa Ke Laal
Qasim Sa Gul Badan Ali Akbar Sa Khush Jamaal
Ek Jaa Aqeel-O-Muslim-O-Jafar Ke Nau Nihaal
Sab Ke Rukhon Ka Noor Sipahr-E-Bareen Pa Tha
Athara Aaftaabon Ka Ghuncha Zameen Pa Tha

Naagaah Charkh Par Khat-E-Abyaz Huwa Aiaan
Tashreef Jaa-Namaaz Pe Laaye Shah-E-Zamaan
Sajade Bich Gaye Aqab-E-Shah-E-Ins-O-Jaan
Saut-E-Hasan Se Akbar-E-Mahrooh Ne Di Azaan
Har Ek Ki Chashm Aansuon Se Dab Daba Gayi
Goya Sada Rasool Ki Kaano Mein Aagayi

Namoos-E-Shaah Rotey Thay Khaime Mein Zaar Zaar
Chupke Khadi Thi Sahn Mein Bano-E-Naamdaar
Zainab Balayein Leke Ye Kahti Thi Baar Baar
Sadqe Namaziyon Ke Muazzin Ke Main Nisaar
Karte Hain Yoon Sana-O-Sifat Zul Jalaal Ki
Logon Azaan Suno Meri Yousuf Jamaal Ki

Ye Husn-E-Saut Aur Ye Qirat Ye Shadd-O-Madd
Haqqa Ke Afsahul Fusuha Thay Inhin Ke Jadd
Goya Hai Lahn-E-Hazrat-E-Dawood-E-Ba-Khirad
Ya Rabb Rakh Is Sada Ko Zamane Mein Taa Abadd
Shu’b-E-Sada Mein Pankhadiyaan Jaise Phool Mein
Bul Bul Chahak Raha Hai Riyaaz-E-Rasool Mein

Saf Mein Huwa Jo Naara-E-Qad Qaamatis Salaat
Qaaim Huwi Namaaz Uthey Shah-E-Kaainaat
Wo Noor Ki Safein Wo Musalli Falak-Sifaat
Sardaar Ke Qadam Ke Taley Thi Rah-E-Nijaat
Jalwa Tha Ta-Ba Arsh-E-Mu’alla Hussain Ka
Mus-Haf Ki Lauh Thi Ke Musalla Hussain Ka

Quraan Khula Huwa Ke Jama’at Ki Thi Namaaz
Bismillah Aagey Jaise Ho Yoon Thay Shah-E-Hijaaz
Satrein Thin Ya Safein Aqab-E-Shah-E-Sarfaraaz
Karti Thi Khud Namaaz Bhi Inki Adaa Pe Naaz
Sadqe Sahar Bayaaz Pe Bainas Sutoor Ki
Sab Aayatein Thin Mus Hafe Naatikh Ki Noor Ki

Dunya Se Uth Gaya Wo Qayaam Aur Wo Qaood
Inke Liye Thi Bandagi Wajib-Ul-Wujood
Wo Ajz Wo Taweel Ruku Aur Wo Sujood
Ta’at Mein Neest Jaantey Thay Apni Hast-O-Bood
Taqat Na Chalne Phirne Ki Thi Haath Paaon Mein
Gir Gir Ke Sajde Karte Thay Taghoon Ki Chaon Mein

Faarigh Huwe Namaaz Se Jab Qibla-O-Anaam
Aaye Musafahe Ko Jawaanan-E-Tashna-Kaam
Choome Kisi Ne Dast-E-Shahenshaah-E-Khaas-O-Aam
Aakhein Miley Kisi Ne Qadam Par Ba Ehteraam
Kya Dil Thay Kya Sipaah-E-Rasheed-O-Sayeed Thi
Baa-Ham Mu’anaqe Thay Ke Marne Ki Eid Thi

Zaari Thi Ilteja Thi Munajaat Thi Idhar
Waan Sar Kashi-O-Zulm-O-Ta’addi-O-Shor-O-Shar
Kahta Tha Ibn-E-Saad Ye Jaa Jaa Ke Nahr Par
Ghaton Se Hoshiyaar Tarayi Se Ba-Khabar
Do Roz Se Hai Tashna-Dahani Hussain Ko
Haan Martey Dam Bhi Deejiyo Na Pani Hussain Ko

Baithey Thay Jaa-Namaaz Pe Shah-E-Falak Sareer
Naagaah Qareeb Aake Girey Teen Chaar Teer
Dekha Har Ek Ne Mud Ke Suwe Lashkar-E-Kaseer
Abbas Uthey Tol Ke Shamsheer Be Nazeer
Parwaane Thay Siraaj-E-Imamat Ke Noor Par
Rokey Sipar Huzoor Karaamat Zahoor Par

Akbar Se Mud Ke Kahne Lage Sarwar-E-Zamaan
Baandhe Hai Sarkashi Pa Kamar Lashkar-E-Giraan
Tum Jaa Ke Kah Do Khaime Mein Ye Ai Pidar Ki Jaan
Bachchon Ko Leke Sahn Se Hatt Jaaye Bibiyaan
Ghaflat Mein Teer Se Koi Bachcha Talaf Na Ho
Darr Hai Mujhe Ke Gardan-E-Asghar Hadaf Na Ho

Kahte Thay Ye Pisar Se Shah-E-Aasmaan Sareer
Fizza Pukari Deordhi Se Ai Khalq Ke Ameer
Hai Hai Ali Ki Betiyaan Kis Jaa Ho Gosh-Geer
Asghar Ke Gahware Tak Aa Kar Girey Hain Teer
Garmi Se Saari Raat Ye Ghut Ghut Ke Roye Hain
Bachchey Abhi To Sard Hawa Paa Ke Soye Hain

Baqar Kahin Pada Hai Sakina Kahin Hai Ghash
Garmi Ki Fasl Ye Tab-O-Taab Aur Ye Atash
Ro Ro Ke So Gaye Hain Sagheeran-E-Maahwash
Bachchon Ko Leke Yaan Se Kahan Jaaye Faqa-Kash
Ye Kis Khata Pe Teer Piya Pe Barastey Hain
Thandi Hawa Ke Waastey Bachey Tarastey Hain

Uthey Ye Shor Sunke Imam-E-Falak-Viqaar
Deordhi Tak Aaye Dhalon Ko Roke Rafiq-O-Yaar
Farmaya Mud Ke Chaltey Hain Ab Bahr-E-Kaarzaar
Kamren Kaso Jihaad Pe Mangwaao Raahwaar
Dekhein Fizaa Behisht Ki Dil Baagh Baagh Ho
Ummat Ke Kaam Se Kahin Jaldi Firaagh Ho

Khaime Mein Jaake Shah Ne Ye Dekha Haram Ka Haal
Chehre To Faqq Hain Aur Khule Hain Saron Ke Baal
Zainab Ki Ye Dua Thi Ke Ai Rabb-E-Zuljalaal
Bach Jaaye Is Fasaad Se Khairun Nisa Ka Laal
Bano-E-Naik Naam Ki Khaiti Hari Rahey
Sanndal Se Maang Bachon Se Godhi Bhari Rahey

Boley Qareeb Jaake Shah-E-Aasmaan Janaab
Muztar Na Ho Dua’en Hain Tum Sab Ki Mustajaab
Maghroor Hain Khata Pe Ye Sab Khanuma-Kharaab
Khud Jaake Mein Dikhata Hoon Inko Rahe Sawaab
Mauqa Nahin Bahan Abhi Faryaad-O-Aah Ka
Laao Tabarrukaat Risaalat Panaah Ka

Meraaj Mein Rasool Ne Pahna Tha Jo Libaas
Kashti Mein Laayi Zainab Usey Shah-E-Deen Ke Paas
Sar Par Rakha Amama-E-Sardar-E-Haq Shinaas
Pahni Qaba-E-Paak Rasool-E-Falaq Asaas
Bar Mein Durust-O-Chust Tha Jama Rasool Ka
Rumaal Fatima Ka Amaama Rasool Ka

Kapdon Se Aarahi Thi Rasool-E-Zaman Ki Bu
Dulha Ne Sunghi Hogi Na Aisi Dulhan Ki Bu
Hyder Ki Fatima Ki Hussain-O-Hasan Ki Bu
Phaili Huwi Thi Chaar Taraf Panjetan Ki Bu
Lut Ta Tha Itr Waadi Ambar Sarisht Mein
Gul Jhoomtey Thay Baagh Mein Rizwaan Behisht Mein

Poshaak Sab Pahan Chukey Jis Dam Shah-E-Zaman
Le Kar Balaein Bhai Ki Ronay Lagi Bahan
Kehti Thi Hai Aaj Nahin Hyder-O-Hasan
Amma Kahan Se Laaye Tumhen Ab Ye Be Watan
Rukhsat Hai Ab Rasool Ke Yusuf Jamaal Ki
Sadqe Gayi Balaein To Lo Apne Laal Ki

Hathiyaar Idhar Laga Chuke Maula-E-Khaas-O-Aam
Tayyaar Udhar Huwa Alam-E-Sayyed-E-Anaam
Duaaein Maangti Gird Thi Saidaniyaan Tamaam
Roti Thi Thaamey Chobe Alam Khwahar-E-Imaam
Teghen Kamar Mein Dosh Pe Shamley Padey Huwe
Zainab Ke Laal Zer-E-Alam Aa Khade Huwe

Gah Maa Ko Dekhte Thay Kabhi Jaanib-E-Alam
Naara Kabhi Ye Tha Ke Nisaar-E-Shah-E-Umam
Karte Thay Dono Bhai Kabhi Mashware Baham
Aahista Poochtey Kabhi Maa Se Wo Zee-Hasham
Kya Qasd Hai Alliye Wali Ke Nishaan Ka
Amma Kise Mile Ga Alam Nana Jaan Ka

In Nanhe Nanhe Haathon Se Uthega Ye Alam
Chotey Qadon Mein Sab Se Sinon Mein Sabho Se Kam
Nikle Tano Se Sibt-E-Nabi Ke Qadam Pe Dam
Ohda Yahi Hai Bas Yahi Mansab Yahi Hasham
Rukhsat Talab Agar Ho To Ye Mera Kaam Hai
Maa Sadqe Jaaye Aaj To Marne Mein Naam Hai

Phir Tum Ko Kya Buzurg Thay Jo Fakhr-E-Rozgaar
Zeba Nahin Hai Wasf-E-Izafi Pe Iftekhaar
Jauhar Wo Hai Jo Tegh Karey Aap Aashkaar
Dikhlaa Do Aaj Hyder-O-Jafar Ki Kaarzaar
Tum Kyon Kaho Ke Laal Khuda Ke Wali Ke Hain
Faujein Pukare Khud Ke Nawase Ali Ke Hain

Ab Jisko Tum Kaho Usey Dein Fauj Ka Alam
Ki Arz Jo Salaah Shah-E-Aasmaan Hasham
Farmaya Jab Se Uth Gayi Zahra-E-Ba Karam
Us Din Se Tum Ko Maan Ki Jagah Jaantey Hain Hum
Maalik Ho Tum Buzurg Koi Ho Ke Khurd Ho
Jis Ko Kaho Usi Ko Ye Ohda Sipard Ho

Boli Bahan Ke Aap Bhi Tou Lein Kisi Ka Naam
Hai Kis Taraf Tawajjo-E-Sardar-O-Khaas-O-Aam
Gar Mujhse Poochtay Hain Shah-E-Aasmaan Maqaam
Quran Ke Baad Hai Tou Ali Hi Ka Kuch Kalaam
Shaukat Mein Qadd Mein Shaan Mein Humsar Nahin Koi
Abbas-E-Naamdaar Se Behtar Nahin Koi

Aashiq Ghulaam Khadim-E-Dereena Jaan-Nisaar
Farzand Bhai Zeenat-E-Pehlu Wafa Shi’aar
Jarrar Yaadgaar-E-Pidar Fakhr-E-Rozgaar
Rahat Rasaa Mutee-O-Namudaar-O-Naamdaar
Safdar Hai Sher Dil Hai Bahadur Hai Naik Hai
Be-Misl Saikdon Mein Hazaron Mein Ek Hai

Aakhon Mein Ashk Bhar Ke Ye Boley Shah-E-Zaman
Haan Thi Yahi Ali Ki Wasiyyat Bhi Ai Bahan
Achcha Bulayein Aap Kidhar Hai Wo Saff-Shikan
Akbar Chacha Ke Paas Gaye Sunke Ye Sukhan
Ki Arz Intezaar Hai Shah-E-Ghuyoor Ko
Chaliye Phuphi Ne Yaad Kiya Hai Huzoor Ko

Abbas Aaye Haathon Ko Jorde Huzoor-E-Shaah
Jaao Bahan Ke Paas Ye Bola Wo Deen-Panaah
Zainab Wahin Alam Liye Aayi Ba Izz-O-Jaah
Boley Nishaan Ko Leke Shah-E-Arsh Baargaah
Inki Khushi Wo Hai Jo Riza Panjatan Ki Hai
Lo Bhai Lo Alam Ye Inayat Bahan Ki Hai

Munh Karke Suw-E-Qabr-E-Ali Phir Kiya Khitaab
Zarre Ko Aaj Kar Diya Maula Ne Aaftaab
Ye Arz Khaaksaar Ki Hai Ya Abu Turaab
Aaqa Ke Aagey Hoon Mein Shahadat Se Bahr-E-Yaab
Sar Tan Se Ibn-E-Fatima Ke Ru Baru Girey
Shabbir Ke Paseene Pe Mera Lahu Girey

Ye Sunke Aayi Zauja-E-Abbas-E-Naamwar
Shauhar Ki Simt Pehle Kan-Ankhiyon Se Ki Nazar
Lee Sibt-E-Mustafa Ki Balayein Ba Chashm-E-Tar
Zainab Ke Gird Phirke Ye Boli Wo Nauha-Gar
Faiz Aap Ka Hai Aur Tasadduq Imaam Ka
Izzat Badi Kaneez Ki Rutba Ghulaam Ka

Sar Ko Laga Ke Chhathi Se Zainab Ne Ye Kaha
Tu Apni Maang Kokh Se Thandi Rakhe Sada
Ki Arz Mujh Si Laakh Kaneezein Hon To Fida
Baano-E-Naamwar Ko Suhaagan Rakhe Khuda
Bachchey Jiyen Taraqqi-E-Iqbal-O-Jaah Ho
Saaye Mein Aap Ke Ali Akbar Ka Byaah Ho

Naa-Gaah Aa Ke Baali Sakina Ne Ye Kaha
Kaisa Hai Ye Hujoom Kidhar Hain Mere Chacha
Ohda Alam Ka Un Ko Mubarak Karey Khuda
Logon Mujhe Balayein To Lene Do Ek Zara
Shaukat Khuda Badhaye Mere Ammu-Jaan Ki
Main Bhi To Dekhoon Shaan Ali Ke Nishaan Ki

Abbaas Muskura Ke Pukarey Ke Aao Aao
Ammu Nisaar Pyaas Se Kya Haal Hai Bataao
Boli Lipat Ke Wo Ke Meri Mashk Lete Jaao
Ab To Alam Mila Tumhein Pani Mujhe Pilaao
Tohfa Na Koi Deejiye Na In’aam Deejiye
Qurbaan Jaaon Pani Ka Ek Jaam Deejiye

Na-Gaah Badhey Alam Liye Abbas-E-Ba-Wafa
Daude Sab Ahl-E-Bait Khule Sar Barehna Pa
Hazrat Ne Haath Utha Ke Ye Ek Ek Se Kaha
Lo Alwida Ai Haram-E-Paak-E-Mustafa
Subh-E-Shab-E-Firaaq Hai Pyaaron Ko Dekh Lo
Sab Mil Ke Doobte Huwe Taaron Ko Dekh Lo

Shah Ke Qadam Pe Zainab-E-Zaar-O-Hazeen Giri
Bano Pachhaad Kha Ke Pisar Ke Qareen Giri
Kulsoom Thar Thara Ke Ba-Roo-E-Zameen Giri
Baqar Kahin Gira To Sakina Kaheen Giri
Ujda Chaman Har Ek Gul Taza Nikal Gaya
Nikla Alam Ke Ghar Se Janaza Nikal Gaya

Naa-Gaah Udhar Se Teer Chale Janib-E-Imaam
Ghoda Badha Ke Aap Ne Hujjat Bhi Ki Tamaam
Nikle Idhar Se Shah Ke Rafiqaan-E-Tashna-Kaam
Be Sar Huwe Paron Mein Saraan-E-Sipaah-E-Shaam
Bala Kabhi Thi Taegh Kabhi Zer-E-Tang Thi
Ek Ek Ki Jang Maalik-E-Ashtar Ki Jang Thi

Allah Re Ali Ke Nawason Ki Kaar-Zaar
Donon Ke Nechey Thay Ke Chalti Thi Zulfiqaar
Shaana Kata Kisi Ne Jo Roka Sipar Pe Waar
Ginti Thi Zakhmiyon Ki Na Kishton Ka Tha Shumaar
Utney Sawaar Qatl Kiye Thodi Der Mein
Donon Ke Ghode Chhup Gaye Laashon Ke Dher Mein

Kis Husn Se Hasan Ka Jawan-E-Haseen Lada
Ghir Ghir Ke Surat-E-Asad-E-Khushmgeen Lada
Do Din Ki Bhookh Pyaas Mein Wo Mah-Jabeen Lada
Sahra Ulat Ke Yon Koi Dulha Nahin Lada
Hamle Dikha Diye Asad-E-Kirdgaar Ke
Maqtal Mein Soy-E-Arzak-E-Shaami Ko Maar Ke

Chamki Jo Tegh Hazrat-E-Abbas-E-Arsh Jaah
Rooh-Ul-Ameen Pukarey Ke Allah Ki Panaah
Dhalon Mein Chhup Gaya Pisar-E-Saad Ru-Siyaah
Kushton Se Band Ho Gayi Aman-O-Amaan Ki Raah
Jhapta Jo Sher Shauq Mein Darya Ki Sair Ke
Le Li Tarayi Teghon Ki Maujon Ko Pher Ke

Be Sar Huwe Muwakkil-E-Sar Chashma-E-Furaat
Hal-Chal Mein Misl-E-Mauj Safon Ko Na Tha Sabaat
Darya Mein Gir Ke Faut Huwe Kitne Bad-Sifaat
Goya Habaab Ho Gaye Thay Nuqta-E-Hayaat
Abbas Bhar Ke Mashk Ko Yon Tashna-Lab Laday
Jis Tarah Naharwaan Mein Ameer-E-Arab Laday

Aafat Thi Harb-O-Zarb-E-Ali Akbar-E-Diler
Ghusse Mein Jhapte Ser Pe Jaise Garsina Sher
Sab Sar Buland Past Zabardast Sab Thay Zer
Jangal Mein Chaar Simt Huwe Zakhmiyon Ke Dher
Siraan Ke Utre Tan Se Jo Thay Rann Chadhey Huwe
Abbas Se Bhi Jang Mein Kuch Thay Badhey Huwe

Talwaarein Barsi Subh Se Nisfo-Nihaar Tak
Hilti Rahi Zameen Laraztey Rahey Falak
Kaampa Kiye Paron Ko Simte Huwe Malak
Na’rey Na Phir Wo Thay Na Wo Teghon Ki Thi Chamak
Dhaalon Ka Daur Barchiyon Ka Auj Ho Gaya
Hangaam-E-Zuhr Khatma-E-Fauj Ho Gaya

Lashe Sabhon Ke Sibt-E-Nabi Khud Uthaa Ke Laaye
Qaatil Kisi Shaheed Ka Sar Kaatne Na Paaye
Dushman Ko Bhi Na Dost Ki Furqat Khuda Dikhaaye
Farmaate Thay Bichad Gaye Sab Hum Se Haaye Haaye
Itney Pahaad Gir Padey Jis Par Wo Kham Na Ho
Gar Sau Baras Jiyoon To Ye Majma Baham Na Ho

Kham Ho Gaye Ye Daagh Uthaa Ke Imam-E-Deen
Jhuk Kar Bana Hilaal-E-Nabi Ka Mah-E-Jabeen
Yoon Dard Mein Tadap Ke Kiya Naala-E-Hazeen
Hilne Lage Pahaad Larazne Lagi Zameen
Aayi Jigar Ko Taab Na Is Waardaat Ki
Khushki Mein Lagi Doobne Kashti Hayaat Ki

Jab Saff-Kashi Ki Dhoom Huwi Qatl Gaah Mein
Tasweer-E-Marg Phir Gayi Sab Ki Nigaah Mein
Doobe Rafiq-E-Yusuf-E-Deen Haq Ki Chaah Mein
Daftar Khula Ajal Ka Hussaini Sipaah Mein
Jaan-Baaziyaan Dikhake Jari Naam Kar Gaye
Khaak-E-Shifa Pa Noor Ke Daane Bikhar Gaye

Jis Waqt Aamad Aamad-E-Saif-E-Khuda Huwi
Hal-Chal Padi Har Ek Ke Dar Pe Qaza Huwi
Naa-Bood Zindagi Huwi Hasti Fana Huwi
Himmat Dilon Ke Jism Se Quwwat Juda Huwi
Labrez Hokey Umr Ke Saaghar Chhalak Gaye
Kaampi Zameen Pahaad Jagah Se Sarak Gaye

Maidaan Mein Jab Riyaaz-E-Hussaini Khizaan Huwa
Dunya Se Kaarwaan Shah-E-Deen Ka Rawaan Huwa
Darya-E-Khoon Mein Gharq Har Ek Naujawaan Huwa
Hamshakl-E-Mustafa Bhi Shaheedey Sinaan Huwa
Rotey Thay Shaah Lasho Mein Tanha Khade Huwe
Thay Khaak Par Kaleje Ke Tukde Padey Huwe

Garmi Ka Roz Jang Ki Kyon Kar Karoon Bayaan
Darr Hai Ke Misl-E-Shama Na Jalne Lage Zabaan
Wo Lo Ke Al-Hazar Wo Hararat Ke Al-Amaan
Rann Ki Zameen To Surkh Thi Aur Zard Aasmaan
Aab-E-Khunuk Ko Khalq Tarasti Thi Khaak Par
Goya Hawa Se Aag Barasti Thi Khaak Par

Wo Lo Wo Aaftaab Ki Hiddat Wo Taab-O-Tab
Kaala Tha Rang Dhoop Se Din Ka Misaal-E-Shab
Khud Nahr-E-Alqama Ke Bhi Sookhey Huwe Thay Lab
Khaime Jo Thay Hibaabon Ke Tapte Thay Sab Ke Sab
Udti Thi Khaak Khushk Tha Chashma Hayaat Ka
Khaula Huwa Tha Dhoop Se Paani Furaat Ka

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>