Meer Anees- Jis Dum Yazid Shaam Mein Masnad-Nashin Huwa


Jis Dum Yazid Shaam Mein Masnad-Nashin Huwa,
Sub Mulk Roo-Siyah Ke Zeere Rangeen Huwa,
Shabbir Se Ziyad Usay Bughz-O-Keen Huwa,
E'izaay-E-Ahl-E-Bait Ke Dar Pe La'een Huwa;

Kehta Tha Saltanat Ka Toh Samaan Durust Hai,
Sakhti Na Un Pe Ho Toh Riyasat Yeh Sust Hai.


Khat Haakim-E-Madina Ko Likha Ba Shadd-O-Mad,
Mazmoon Yeh Tha Ke Tub Hai Ita'at Teri Sanad,
Bay'at Meri Husain Se Le Toh Ba Jadd-O-Kad,
Main Fauj Bhejta Hoon Kare Gi Teri Madad;

Bai'yat Karein Toh Jald Idhar Bhej Deejiyo,
Raazi Na Hon Toh Kaat Ke Sar Bhej Deejiyo.


Pahuncha Usay Madine Mein Jab Nama-E-Yazid,
Pardh Kar Wo Khat Bahot Mutaraddid Huwa Walid,
Dil Mein Kaha Yeh Zalim Toh Hai Aql Se Ba’eed,
Main Fatima Ke Laal Ko Kyonkar Karoon Shaheed;

Da’awa-E-Saltanat Bhi Nahin Be Qusoor Hai,
Aise Kinarah Kash Pa Sitam Kya Zaroor Hai.


Aakhir Kisi Ko Bhej Ke Shah Ko Kiya Talab,
Bhai Bhatije Shah Ki Khaatir Thay Sab Ke Sab,
Farmaya Uss Say Jakar Main Aoonga Waqt-E-Shab,
Ma'aloom Hai Mujhe Jo Bulaane Ka Hai Sabab;

Sub Jaante Hain Baiy'at-E-Fasiq Haram Hai,
Us Ki Talab Humein Yeh Ajal Ka Payaam Hai.


Ghabra Gaye Yeh Sunke Azeez-O-Rafiq-O-Yaar,
Qasim Ne Rakhli Saamne Shamshir-E-Aabdar,
Akbar Ne Bhi Talab Kiya Asbab-E-Kaarzar,
Aaye Kamaal-E-Ghaiz Main Abbas Namdar;

Keh Kar Yeh Baat Sarwat-E-Sher Utth Khade Huway,
Haakim Ke Ghar Na Jaayen Ge Hum Be Lade Huway.


Zainab Ke Donon Beton Ko Uss Dum Rahi Na Taab,
Jaa Kar Haram-Sara Mein Kaha Ba-Sadd-E-Izteraab,
Haakim Ke Ghar Mein Jaate Hain Shah-E-Falak Janaab,
Amma Humaare Neemchay Laa Deejiye Shataab;

Bigde Gi Gar Toh Khoon Ke Darya Bahaayen Ge,
Kaam Aaj Bhi Na Aaye To Kis Kaam Aayen Ge.


Sun Kar Sukhan Ho Gaya Zainab Ka Rang Zard,
Aansu Bhar Aaye Aankhon Mein Uttha Jigar Mein Dard,
Boli Kaleja Thaam Ke Aur Bhar Ke Aah Sard,
Kya Waali-E-Madina Hai Aamaadah Nabbasard?

Aisee Ali Ke Laal Se Taqseer Kya Huwi,
Kya Jurm Kya Gunaah Huwa Kya Khata Huwi?


Hai Mulk Se Gharz Na Usay Hubb-E-Jaah Hai,
Qabze Mein Na Khazaana Hai Aur Na Sipah Hai,
Logon Se Raabta Hai Na Ghairon Se Raah Hai,
Jaa-E-Nashast Qabr-E-Risalat Panaah Hai;

Naa-Haq Yeh Zulm, Haq Se Nahin Log Darte Hain,
Jang Uss Say Jis Ghareeb Pe Faaqe Guzarte Hain.


Naanaa Hain Us Ke Sar Pe Na Haidar Hain Na Hasan,
Sadqe Ghareeb Bhaai Pe Hojaaye Yeh Bahan,
Zindah Hai Jab Talak Yeh To Jeete Hain Panjatan,
Marzi Hai Dushmanon Ki To Hum Chhod Dein Watan;

Gar Yaan Mile Ga Chain Na Zahra Ki Jaayi Ko,
Jangal Mein Jaa Rahe Gi Bahan Leke Bhai Ko.


Bhai Ko Mere Paas Bulaao Sunoon Main Haal,
Kya Baat Hai Jo Qaatar Aqdar Pe Hai Malaal,
Tanha Chala Na Jaaye Kahin Fatima Ka Laal,
Bhaai Pe Kuchh Banay Toh Kholun Gi Sar Ke Baal;

Shayad Dagha Ho Jang Ka Saamaan Liye Chalain,
Haakim Ke Ghar Mein Saath Mujhe Bhi Liye Chalain.


Zainab Yeh Keh Rahi Thin Ke Aaye Imaam-E-Deen,
Munh Dekh Shah Ka Ronay Lagin Zainab-E-Hazeen,
Farmaya Shah Ne Roti Ho Kyon Khauf Kuchh Naheen,
Haakim Ke Ghar Mein Jaaye Ga Haidar Ka Jaa-Nasheen;

Wo Aur Hai Jagah Tumhein Jiska Khayaal Hai,
Haan Mujh Pe Haath Uthhaye Koi Kya Majaal Hai.


Samjha Chuke Bahan Ko Jo Hazrat Bachashm-E-Tar,
Bandhi Shah-E-Najaf Ke Kamar Bandh Se Kamar,
Daala Abaa-E-Paak Mohammad Ko Dosh Par,
Le Kar Assa Nabi Ka Chalay Shah-E-Bahrobar;

Yun Saath Thay Azeez Shah-E-Kum Sipah Ke,
Jaise Sitaare Charkh Pe Hon Gird Maah Ke.


Uss Dum Kamaal Hazrat-E-Zainab Theen Be-Qarar,
Bait-Uss-Sharaf Se Jaati Theen Deodhoi Pe Baar-Baar,
Abbas Se Bulake Kaha Ai Wafa Sheyaar,
Bhaai Ko Chhodyo Na Akela Bahan Nisaar;

Haakim Se Hum Sukhan Jo Shah-E-Khush-Khisaal Hon,
Tum Ik Taraf Ho Ek Taraf Mere Laal Hon.


Yeh Baat Keh Ke Rone Lagi Woh Jigar Kabaab,
Chaalees Shakhs Le Ke Chala Ibn-E-Bu-Turaab,
Jo Dekhta Tha Shaan-E-Imam-E-Falak Janaab,
Kehta Tha Woh Ke Raat Ko Nikla Hai Aaftaab;

Raste Main Shab Ko Husn-E-Nabi Ka Zahoor Tha,
Aflaak Tak Zameen Ke Sitaaron Ka Noor Tha.

----------------------

Post a Comment

2 Comments

–>