Meer Anees- Namak-E-Khwaan-E-Takallum Hai Fasaahat Meri

Namak-E-Khwaan-E-Takallum

Namak-E-Khwaan-E-Takallum Hai Fasaahat Meri
Naatqein Band Hain Sun Sun Ke Balaaghat Meri
Rang Udte Hain Wo Rangeen Hai Ibarat Meri
Shor Jiska Hai Wo Darya Hai Tabeeyat Meri
Umr Guzri Hai Isi Dasht Ki Saiyaahi Mein
Paanchvi Pusht Hai Shabbir Ki Maddaahi Mein

Is Sana-Khwaan Ke Buzurgon Mein Hain Kya Kya Maddaah
Jadd-E-Aali Se Na Hoga Koi Aala Maddaah
Baap Maddaah Ka Maddaah Hai, Dada Maddaah
Um Zee Qadr Sana-Khwaanon Mein Yakta Maddaah
Jo Inaayaat-E-Ilahi Se Hua Nek Hua
Naam Badhta Gaya Jab Ek Ke Baad Ek Hua

Bhai Khush-Fitrat-O-Khush-Lehja-O-Paakeeza-Khisaal
Jin Ka Seena Gauhar-E-Ilm Se Hai Maala-Maal
Ye Fasaahat, Ye Balaahagt, Ye Salaasat, Ye Kamaal
Maujiza Gar Na Ise Kahiye To Hai Seher-E-Halaal
Apne Mauqe Pe Jise Dekhiye La-Saani Hai
Lutf Hazrat Ka Ye Hai Rehmat-E-Yazdaani

  --------------------------

Post a Comment

1 Comments

–>