Asghar Gondvi- Ik Aalam-E-Hairat Hai Fana Hai Na Baqa Hai



Ik Aalam-E-Hairat Hai Fana Hai Na Baqa Hai,
Hairat Bhi Yeh Hai Ke Kya Jaaniye Kya Hai,

Sau Baar Jala Hai To Ye Sau Baar Bana Hai,
Hum Sokhta Jaanon Ka Nasheman Bhi Bala Hai,

Honthon Pe Tabassum Hai Ke Ek Barq-E-Bala Hai,
Aankhon Ka Ishara Hai Ke Sailab-E-Fana Hai,

Sunta Hoon Bade Ghaur Se Afsana-E-Hasti,
Kuchh Khwab Hai Kuch Asl Hai Kuch Tarz-E-Ada Hai,

Hai Tere Tasawwur Se Yahan Noor Ki Barish,
Ye Jan-E-Hazin Hai Ke Shabistan-E-Hira Hai

-----------------

Post a Comment

0 Comments

–>