Asghar Gondvi - Sukoon-E-Shorish-E-Pinhaan Hai Shaghl-E-Jaama-Dari



Sukoon-E-Shorish-E-Pinhaan Hai Shaghl-E-Jaama-Dari
Qaraar Seena-E-Soazaan Hai Naala-E-Sahri

Mizaaj-E-Ishq Bahut Mu’tadil Hai In Roazoan
Jigar Mein Aag Dahakti Hai Aankh Mein Hai Tari

Yeh Dar Hai Har Bun-E-Moo-E-Ab Lahoo Na De Nikle
Kuchh Aise Zor Pe Hai Aaj Kaawish-E-Jigri

Jo Mujh Pe Guzri Hai Shab Bhar Woh Dekh Le Hamdam
Chamak Rahaa Hai Mazah Par Sitaara-E-Sahari

Uthaa Hai Dard Rag-E-Jaan Hai Tishna-E-Nashtar
Mujhe Hai Aaj Talaash-E-Kamaal-E-Chaarah Gari

Gharz Nishaat-O-Alam Se Faqat Tamaashaa Hai
Ke Yeh Munaazr-E Rah Aur Main Hoon Rah Guzari

Na Mudd’aa Koi,Ye Meraa Na Kuchh Haraas Mujhe
Ke Aashqee Hai Faqat Be Dili-O-Be Jigri

Nigaah-E-Naaz Ki Kaifiatein Hain Dil Mein Wahi
Ke Rooh Tan Mein Ho Sheeshe Mein Jis Tarah Ho Pari

Teri Nigaah Ke Sadqe Yeh Haal Kyaa Hai Meraa
Kamaal Hosh Kahoon Yaa Kamaal-Be-Khabri

Ghazab Huwaa Ke Garibaan Hai Chaak Hone Ko
Tumhaare Husn Ki Hoti Hai Aaj Pardah Dari

Kaheen Hai Isah Kaheen Hai Kashish Kahaeen Harkat
Bharaa Hai Khaamah-E-Fitrat Mein Rang-E-Fitna-Gari

Mahaal Thaa Koi Hotaa Yahaan Siwaa Tere
Yeh Kul Jahaan Hai Minnat Pazeer Kam-Nazri

Woh Har Ayaan Mein Nihaan Hai, Woh Nihaan Mein Ayaan
Ajeeb Tarz-E-Hijaab-O-Ajeeb Jalwaa-Gari

Kuchh Is Tarah Huien Aajiz Nawaaziyaan Uski
Ke Meri Aah Ko Hai Ab Talaash-E-Be Acri

Nuzool Paikar-E-Khaaki Pe Rooh Aazam Kaa
Zah-E-Kamaal-E-Sarafandagee-O-Be Hunri

Karam Kuchh Aaj Hai Saaqi Ka Woh Tarab Angez
Ke Jurah Jurah Hai Mauj-E-Tarannum-E-Sahri

Us Aastaan Se Uthaai Na Phir Jabeen Ham Ne
Haram Mein Sijdah-E-Paiham Thi Eik Dard-Sari

Chhupi Hai Neem Nigaahee Mein Rooh-E-Be Taabi
Milee Hai Husn-E-Tabassum Ko Rezish-E-Sharari

Na Jaaiye Meri Bigdi Hui Adaaon Par
Ke Aashqee Mein Meri Husn Ki Hai Jalwa-Gari

Jo Shokhiyon Se Liyaa Hai Jamaal-E-Be Taabi
To Josh-E-Husn Se Paai Adaa-E-Jaamah-Wari

Liye Hain Zulf Se Aashauftagi Ke Kul Andaaz
Nigaah-E-Mast Se Pahunchaa Hai Husn-E-Bekhabri

Khamosh ‘Asghar’ Behudah Kosh-O-Harzah-Saraa
Ke Husn-O-Ishq Ki Achhee Naheen Hai Pardah Dari

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>