Hali - Aage Badhe Na Qissa-E-Ishq-E-Butaan Se Ham

 
Aage Badhe Na Qissa-E-Ishq-E-Butaan Se Ham
Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Raazdaan Se Ham
Ab Bhaagte Hain Saaya-E-Ishq-E-Butaan Se Ham
Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Aasmaan Se Ham
Hanste Hain Us Ke Giriya-E-Be-Ikhtiyar Par
Bhoole Hain Baat Kah Ke Koi Raazadaan Se Ham
Ab Shauq Se Bigar Ke Baaten Kiya Karo
Kuch Paa Gaye Hain Aap Ki Tarz-E-Bayaan Se Ham
Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-E-Tegh-E-Ishq
Badlen Ge Tujh Ko Zindagi-E-Jawidaan Se Ham
 ----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>