Shahryar - Ash'ar


misc- ashaar

Ye Kaisi Ajnabi Dastak Thi Kaisi Aahat Thi
Tere Siva Tha Kise Haq Mujhe Jagaane Ka

  ------------

Us Hatheli Mein Bahut See Dastakein Roo-Posh Hain
Us Gali Ke Mod Par Ek Ghar Tha Kal Tak Kya Huaa

         ------------



Kaarobaar-E-Shauq Mein Bas Faayda Itna Hua
Tujh Se Milna Tha Ke Main Kuch Aur Bhi Tanha Hua                

         ------------

Be-Rang Aasman Ko Dekhe Gi Kab Talak
Manzar Naya Talaash Kare Gi Nigah Phir

                 ---------------

Jamaa Karte Rahe Jo Apne Ko Zarraa Zarraa
Wo Ye Kya Jaane Bikharne Men Sukoon Kitnaa Hai

        ------------

Zindagi Se Abhi Rishta Nahin Toota Mera
Kal Ka Ahwaal Tha Kuch, Aaj Ki Haalat Kuch Hai

              ------------

Umr Bhar Main Kabhi Sairaab Nahin Ho Sakta
Chashm-E-Jaanan Mein Hai Kuch Meri Zaroorat Kuch Hai

                   ---------------

Usko Kisi Ke Waaste Betaab Dekhte
Ham Bhi Kabhi Ye Manzar Nayaab Dekhte

                  --------------

Dheeli Hui Giraft Junoon Ki Ke Jal Utha
Taaq-E-Havas Mein Koi Charagh-E-Gunaah Phir

                   -----------

Main Apne Jism Ki Sargoshiyon Ko Sunta Hoon
Tere Visaal Ki Saa'at Nikalti Jaati Hai

           ------------

Chahaar Samt Se Ghera Hai Tez Aandhi Ne
Kisi Charaagh Ki Lau Phir Bhi Jalti Jaati Hai

                  ------------

Pichhle Safar Ki Gard Ko Daaman Se Jhaad Do
Aawaaz De Rahi Hai Koi Sooni Raah Phir

                   -------------

Honthon Pe Aa Raha Hai Koi Naam Baar Baar
Sannaaton Ke Tilism Ko Tode Gi Aah Phir

                    ------------

Aahat Jo Sunaai Di Hai Hijr Ki Shab Ki Hai
Ye Raaye Akeli Meri Nahin Hai Sab Ki Hai

                  ------------

Dil Tark-E-Ta'alluq Pe Bhi Aamaada Nahin Hai
Aur Haq Bhi Adaa Us Se Wafa Ka Nahin Hota

                   -----------

Ya Itni Na Tabdeel Hui Hoti Ye Dunia
Ya Main Ne Usey Khwaab Mein Dekha Nahin Hota

                -------------

Har Mulaaqat Ka Anjaam Judaai Kyun Hai
Ab To Har Waqt Yahi Baat Sataati Hai Humein

             ------------

Jaan Boojh Kar, Soch Samajh Kar Mai Ne Bhula Dia
Har Wo Qissa Jo Dil Ko Bahlaane Waala Tha

                ----------------

Ret Daaman Mein Ho Ya Dasht Mein Bas Ret Hee Hai
Ret Mein Fasal-E-Tamanna Koi Boye Kaise

                 -----------

Aaj Bhi Hai Teri Doori Hee Udaasi Ka Sabab
Ye Alag Baat Hai Ki Pahli Si Nahin, Kuch Kam Hai

               -----------------

Kaisi Dastak Thi Ke Darwaaze Muqaffal Ho Gaye
Aur Uske Saath Roodaad-E-Qafas Poori Hui

                  ---------------

Kyaa Hua Ahle-Junoon Ko Ki Dua Maangte Hain
Shehar Mein Shor Na Ho, Dasht Mein Veeraani Na Ho

Dil Parehsaan Ho Magar Aankh Mein Hairaani Na Ho
Khwaab Dekho Ki Haqeeqat Se Pashemaani Na Ho

                      ------------



More about shaharyar and his biography,ghazals,nazms
                           ........

Post a Comment

0 Comments

–>