Shahryar- Be-Naam-Se Ek Khauf Se Dil Kyun Hai Parehsaan

ghazal-be naam se ek khauf se

Be-Naam-Se Ek Khauf Se Dil Kyun Hai Parehsaan
Jab Tai Hai Ki Kuchh Waqt Se Pehle Nahin Hogaa

Tadbeer Nayee Soch Koi Aye Dil-E-Saada
Maail-Ba-Karam Tujh-Pe Woh Aise Nahin Hogaa

Khud-Fehmi Abhi Tak Thee Yahi Kaare-Junoon Mein
Jo Main Nahin Kar Paaya Kisi Se Nahin Hoga

Din Dhale Aur Shaam Ko Deedar Ho Phir
Kaam Din Bhar Iss-Liye Itna Kiyaa Hai

Bhool-Kar Tujhko Pashemaan Hoon Bahot Main
Log Kehte Hani Bahot Achchha Kiyaa Hai

Aks-E-Yaad-E-Yaar Ko Dhundhlaa Kiyaa Hai
Main Ne Khud Ko Jaankar Tanha Kiya Hai

Safar Ka Nashaa Chadhaa Hai Toh Kyun Utar Jaaye
Mazaa Toh Jab Hai Koi Laut Ke Na Ghar Jaaye

--------------------

Post a Comment

0 Comments

–>