Fani Badayuni- Aath Paher Ki Yeh Be-Chaini Yeh Be-Taabi Kya Kahiye


Aath Paher Ki Yeh Be-Chaini Yeh Be-Taabi Kya Kahiye
Had Se Guzri Dil Ki Kharaabi Dil Ki Kharaabi Kya Kahiye

Tum Kya Jaano Kya Shai Hai Toofan-E-Sarshak-E-Kaunain Ki
Tum Ne Chalakte Hi Nahin Dekhi Dil Ki Gulaabi Kya Kahiye

Hai Woh Pehli Nazron Mein Har Mauj Ka Saahil Ban Jaana
Behr-E-Be-Paayaan-E-Mohabbat Ki Paa-Yaabi Kya Kahiye

Agle Baras Ke Phoolon Ka Kya Hashr Unhen Maaloom Nahin
Kaliyon Ka Yeh Tarz-E-Tabassum Yeh Shadaabi Kya Kahiye

Hosh Jinhen Dil Ban Kar Aayan Ki Tadap Ka Kya Kehna
Gham Ne Jinhen Bedaar Kiya Unki Be-Khwaabi Kya Kahiye

Kitne Fitne Jamaa Kiye Hain In Ki Ek Jawaani Ne
Chaal Qayamat, Kafir Nazren, Aankh Sharaabi, Kya Kahiye

Khaak-E-Vatan Hi Raas Na Aayi Ghurbat To Phir Ghurbat Hai
‘Fani’ Apni Khaana-Badoshi Khan-A-Kharaabi Kya Kahiye

---------------------------


Post a Comment

0 Comments

–>