Fani Badayuni- Ik Muammaa Hai Samajhne Ka Na Samajhane Ka

 
Ik Muammaa Hai Samajhne Kaa Na Samajhane Ka
Zindagi Kahe Ko Hai Khvaab Hai Deevaane Ka

Zindagi Bhi To Pashemaan Hai Yahaan Laa Ke Mujhe
Dhoondhti Hai Koi Heela Mere Mar Jaane Ka

Haddiyaan Hain Kai Lipti Hui Zanjiron Mein
Liye Jaate Hain Janaazaa Tere Deevane Ka

Tum Ne Dekhaa Hai Kabhi Ghar Ko Badalte Hue Rang
Aao Dekho Na Tamashaa Mere Ghum-Khaane Ka

Ab Ise Daar Pe Le Jaa Ke Sulaa De Saaqii
Yoon Behakna Nahin Achha Tere Divaane Ka

Ham Ne Chhaani Hain Bahot Dair-O-Haram Ki Galiyaan
Kahin Paayaa Na Thikaanaa Tere Divaane Ka

Har Nafas Umr-E-Guzashtaa Ki Hai Mayyat “Fani”
Zindagi Naam Hai Mud Mud Ke Jiye Jaane Ka
  --------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>