Fani Badayuni- Is Noor-E-Majsam Ke Afsaane Ko Kya Kahiye



Is Noor-E-Majsam Ke Afsaane Ko Kya Kahiye
Hai Shama Bhi Parvana Parvaane Ko Kya Kahiye

Har Dar Se Tere Talabgar Naa-Kaam Palat Aaye
Kaabe Mein Hai Sannata But-Khaane Ko Kya Kahiye

Kuch Khel Na Tha Yun Bhi Parvaane Ka Jal Bujhna
Jal Kar Na Bujhe Aise Parvaane Ko Kya Kahiye

Aaghaz Bhi To Jis Ka Anjaam Bhi To Jis Ka
Us Dard-E-Mohabbat Ke Afsaane Ko Ya Kahiye

Aabaadi Ki Aabaadi Veerane Ki Veerana
Armaan Bhare Dil Ke Kashane Ko Kya Kahiye

Ujri Hui Aankhon Mein Raunaq Tere Dam Se Thi
Veeran Hain Har Basti Veerane Ko Kya Kahiye

Kis Ne Aise Dekha Hai Ai Hasrat-E-Nazzaarah
‘Fani’ To Hai Deewaana Deewaane Ko Kya Kahiye

----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>