Fani Badayuni- Majboor-E-Shikayat Hoon Taseer Ko Kya Kahiye


Majboor-E-Shikayat Hoon Taseer Ko Kya Kahiye
Tadbir Muqaddar Thi Taqdeer Ko Kya Kahiye

Firdaus Badaman Hai Har Naqsh-E-Khayal In Ka
Yeh Shaan-E-Tassavur Hai Tasveer Ko Kya Kahiye

Va-Basta Sad Hasrat Be-Vasat Dil Hoon
Apne Mein Hi Zindaan Hoon Zanjeer Ko Kya Kahiye

Woh Barq Ki Yurish Hai Har Shaakh Mein Larzish Hai
Aise Mein Nasheman Ki Taameer Ko Kya Kahiye

Sunte Hain Hijaab Unka Irfaan-E-Tamanna Hai
Ab Harf-E-Tamanna Ki Taameer Ko Kya Kahiye

Ya-Rab Teri Rahmat Se Maayoos Nahin ‘Fani’
Lekin Teri Rahmat Ki Takhir Ko Kya Kahiye

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>