Sauda - Hamaare Naala-E-Sozaan Se Hai Ye Dhang Aatish Ka



Hamaare Naala-E-Sozaan Se Hai Ye Dhang Aatish Ka
Ke Us Ke Zikr Main Udta Hai Munh Se Rang Aatish Ka

Hamari Ehtiyaat Us Ke Tain Manzoor Hai Is Tarah
Mahaasir Jis Tarah Rehta Hai Barood Sang Aatish Ka

Mujhe Do Din Falak Tain Ghar Main Rakh Kar Tang Aaya Hai
Samandar Se Na Main Dekha Ke Ho Dil Tang Aatish Ka

Mushabeh Yaar Ke Tausan Se Ab Kis Ko Bataaoon Main
Tarah Bijli Ki Main Dekha Nahin Sir Jang Aatish Ka

Dil-E-Naalaan Majnoon Kaisi Garmi Ho Kahan Us Main
Bapa Naqah-E-Laila Band De Go Zang Aatish Ka

Firangi Koi Aab-E-Tegh Ke Ohde Se Bar Aavain
Agar Baandhen Pahar Aa Kar Wo Roz Jang Aatish Ka

Wo Chaub Kashti Ba-Shikasta Hon Is Behr Main Jiska
Dubana Aar Pani Ko Jalana Nang Aatish Ka
Agar Tha Dil Pe Dagh-E-Ishq Koh-E-Toor Per Jaa Kar
Kiya Kyun Dhoondne Per Moosa Ne Aahang Aatish Ka

smoor o qaqam o sanjaab hai sarma main munaam ko
rakhain hain aasra ghurba e lanj o lang aatish ka

Na De Dil Aatsheen Rukhsar Per ‘Sauda’ To Ab Kyun Kar
Wo Sholaa Dekh Kar Main Ho Gaya Chit Bang Aatish Ka


---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>