Sauda - Maqdoor Nahin Us Ki Tajalli Ke Bayaan Ka



Maqdoor Nahin Us Ki Tajalli Ke Bayaan Ka
Joon-Shama Saraapa Ho Agar Sarf Zabaan Ka

Parde Ko Ta’yyun Ke Dar-E-Dil Se Uthaa De
Khultaa Hai Abhi Pal Men Tilismaat Jahaan Ka

Tuk Dekh Sanam-Khaana-E-Ishq Aan Ke Ai Sheikh
Joon-Shamm-E-Haram Rang Jhalaktaa Hai Butaan Ka

Is Gulshan-E-Hasti Men Ajab Deed Hai Lekin
Jab Chashm Khule Gul Ki To Mausam Ho Khizaan Ka

Dikhalaaiye Le Jaake Tujhe Misr Ke Baazaar
Lekin Nahin Khwaahaan Koi Vaan Jins-E-Giraan Ka

Hasti Se Adam Tak Nafas-E-Chand Ki Hai Raah
Duniyaa Se Guzarnaa Safar Aisaa Hai Kahaan Ka

‘Sauda’ Jo Kabhi Gosh Se Himmat Ke Sune Tu
Mazmoon Yahi Hai Jaras-E-Dil Ki Fughaan Ka

  ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>