Sharm/Haya Shayari


sharm haya shayari


Ik Arz-E-Vafaa Bhi Kar Na Sake
Kuchh Kah Na Sake Kuchh Sun Na Sake

Yaan Ham Ne Zabaan Hi Kholi Thi
Vaan Aankh Jhuki Sharmaa Bhi Gaye

[Majaz]

************************************  


Vo Lajaaye Mere Savaal Par Ki Uthaa Sake Na Jhukaa Ke Sar
Udi Zulf Chehre Pe Is Tarah Ki Shabon Ke Raaz Machal Gaye

[Majrooh Sultanpuri]

************************************  


Sharma Ke Yoon Na Dekhiye Lillaah Baar Baar
Aisaa Na Ho Ki Pyaar Ke Chashme Ubal Padein

[Sahir Bhopali]

************************************  

Vo Aaine Men Dekh Rahe The Bahaar-E-Husn
Aayaa Mera Khayaal To Sharmaa Ke Rah Gaye

[Zauq]

************************************


Kyun Jee Ke Hijr Mein Hue Sharminda Yaar Se
Ab Marr Rahe Hain Uski Pashemaaniyon Mein Hum

[Zauq]

**************************************


Vo Sharmaaye Baithe Hain Gardan Jhukaaye
Gazab Ho Gayaa Ik Nazar Dekh Lena

[Hasrat Mohani]

************************************


Kabhi Neki Bhi Us Ke Jee Mein Aa Jaaye Hai Mujh Se
Jafaayen Kar Ke Apni Yaad Sharmaa Jaaye Hai Mujh Se

[Mirza Ghalib]

************************************


Ye Bhi Naa-Chaar Jee Ka Khona Hai
Sharm Se Paani Paani Hona Hai

[Mirza Ghalib]

************************************


Ghair Ko Yaa Rab Vo Kyon Kar Mana-E-Gustaakhi Kare
Gar Hayaa Bhi Us Ko Aati Hai To Sharmaa Jaaye Hai

[Mirza Ghalib]

************************************


Husn Aur Us Pe Husn-E-Zan Rah Gai Bul-Havas Ki Sharm
Apne Pe Etemaad Hai Ghair Ko Aazmaaye Kyoon

[Mirza Ghalib]

************************************  


Sharm Ek Adaa-e-Naaz Hai Apne Hi Se Sahi
Hain Kitne Be-Hijaab Ki Hain Yoon Hijaab Mein

[Mirza Ghalib]


************************************


Donon Jahaan Deke Vo Samajhe Ye Khush Raha
Yaan Aa Padi Ye Sharm Ki Takraar Kyaa Karen

[Mirza Ghalib]

************************************


Hue Be-Khwaab Aah-E-Sharm, Shab Se To Lage Kehne
Ki Soton Ko Jagaa Dete Ho, Tum Bhi Kya Qayaamat Ho

[Momin]

*******************************************


Main Apni Chashm-E-Shauq Ko Ilzaam Khaak Doon
Teri Nigaah-E-Sharm Se Kyaa Kuchh Ayaan Nahin

[Momin]

*************************************


Phir Gayee Aankhon Ke Aagey Uski Chashm-E-Sharmgin
Phir Gayee Aankhein Meri, Nargis Ka Jhukna Dekh Kar

[Momin]

***********************************


Aankh Mein Thi Haya Har Mulaaqaat Par
Surkh Aariz Hue Vasl Ki Baat Par
Us Ne Sharmaa Ke Mere Savaalaat Par
Aise Gardan Jhukaai Mazaaa Aa Gayaa

[Unknown]

************************************


Sharm Ek Adaa-E-Naaz Hai Apne Hi Se Sahi
Hai Kitni Be Hijaab Ke Hai Yun Hijaab Mein

[Ghalib]

************************************


Us Bazm Mein Banti Nahin Mujh Ko Haya Kiye
Baitha Raha Hai Agar-Che Ishaarey Hua Kiye

[Ghalib]

**************************************


Sharm Ek Adaa E Naaz Hai Apne Hi Se Sahi
Hain Kitne Be-Hijaab Ki Hain Yun Hijaab Mein

[Ghalib]

**************************************


Ghair Ko Kyunkar Wo Manaa-E-Gustaakhi Karein
Gar Haya Bhi Aati Hai Usko To Sharmaa Jaaye Hai

[Ghalib]

*******************************************


Gahir Ko Yaarab Vo Kyun Kar Manaa-E-Gustaakhi Kare
Gar Haya Bhi Us Ko Aati Hai To Sharma Jaaye Hai

[Ghalib]

*******************************************


Kah Uthe Chup Kyon Ho Visaal Ke Baad
Khud Hi Sharmaaye Is Savaal Ke Baad

[Riaz Khairabadi]

*******************************************


Javaan Hone Lage Jab Woh To Ham Se Kar Liya Parda
Haya Yak Lakht Aayi Aur Shabaab Ahista-Ahista

[Ameer Minai]

*******************************************


Wo Sharmaye Baithe Hain Gardan Jhukaye
Ghazab Ho Gaya Ik Nazar Dekh Lena

[Hasrat Mohani]

*******************************************


Kis Qadar Hain Teri Aankhen Be-Baak
In Se Fitne Bhi Hayaa Karte Hain

[Daagh Dehlvi]

************************************ 


Hayaa To Dekhiye Aayine Se Bhi Parda Hai
Wo Apna Haath Hi Pehle Sahar Se Dekhte Hain

[Daagh Dehlvi]

*************************************


Yeh Kahaan Ki Baitho Hazaar Mein Tumhein Sharm Aati Thi Chaar Mein
Yeh To Do Hi Din Ka Hai Maajra Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Zindagi Ye To Nahin Tujh Ko Sanvaaraa Hi Na Ho
Kuchh Na Kuchh Ham Ne Tera Qarz Utaaraa Hi Na Ho

Sharm Aati Hai Us Shahar Mein Hain Ke Jahaan
Naa Mile Bheekh To Laakhon Ka Guzaaraa Hi Na Ho

[Jan Nissar Akhtar]

************************************


Bikher De Jo Vo Zulfon Ko Apne Mukhde Par
To Maare Sharm Ke Aai Hui Ghhata Phir Jaaye

[Unknown]

************************************ 

   
Duniya Se Jaa Raha Hoon Kafan Mein Chhipaaye Moonh
Afsos Baad Marne Ke Aai Hamein Hayaa

[Unknown]

************************************


Sharm Se Aankh Milaate Nahin Dekha Un Ko
Paar Hoti Hain Kaleje Ke Nigaahen Kyon Kar

[Daagh Dehlvi]

************************************  

     
Izhaar-E-Mohabbat Par Is Tarah Vo Sharmaaye
Sab Ki Hayaa Meri Aankhon Mein Utar Aai

[Moin Ahsan Jazbi]

************************************  

    
Hazaaron Shauq-O-Armaan Le Rahe Hain Chutkiyaan Dil Mein
Hayaa Un Ki Ijaazat De To Kuchh Be-Baakiyaan Kar Loon

[Akhtar Shirani]

************************************  

    
Kis Ne Hayaa Se Neechi Nazar Ki Ki Ho Gayaa
Aasaan Na Dekhna Mujhse Dushvaar Dekhna

[Muhammad Zaki]

************************************  


Hayaa Ne Rok Liyaa Jazba-E-Dil Ne Kheench Liya
Chale Vo Teer Ki Soorat Khinche Kamaan Ki Tarah

[Daagh Dehlvi]

************************************  

    
Shukr Parde Hi Mein Us But Ko Hayaa Ne Rakkha
Varna Eimaan Gaya Hi Tha Khuda Ne Rakkha

[Zauq]

************************************

     
Kah Uthe Chup Kyon Ho Visaal Ke Baad
Khud Hi Sharmaaye Is Savaal Ke Baad

[Riaz Khairabadi]

************************************  

    
Sharma Ke Poochhna Vo Kisi Ka Shab-E-Visaal
Ai Hijr Ab To Dil Ki Tamannaa Nikal Gai

[Hijr Shahjahanpuri]

************************************


Ik Roz Is Tarah Bhi Mere Baazuon Mein Aa
Mere Adab Ko Teri Hayaa Ki Khabar Na Ho
[Ahmed Nadeem Qasmi]

************************************


Dil Le Gaya Hai Mera Vo Simtan Churaa Kar
Sharmaa Ke Jo Chale Hai Saara Badan Churaa Kar

[Mussahfi]

************************************


Haya-O-Sharm Tumhaari Gawaah Hai Iski
Hua Hai Aaj Koi Kaamyaab Barson Mein
[Daagh Dehlvi]

************************************


Kam-Nigaahi Mein Ishaara Hai, Ishaaron Mein Hayaa
Yaa Na Hone Do Mujhe Chain Se, Yaa Hone Do

[Daagh]

************************************


Kyun Churaate Ho Dekh Kar Aankhein
Kar Chuki Mere Dil Mein Ghar Aankhein

[Daagh]

*************************************


Baad Shokhi Ke Teri, Tarz-E-Hayaa Kuchh Bhi Nahin
Woh Adaa Dilruba Thi, Yeh Adaa Kuchh Bhi Nahin

[Daagh]

***************************************


Uthaao Aankh Na Sharmaao, Yeh To Mehfil Hai
Ghazab Se Jaanib-E-Aghiyaar Dekhte Jaao

[Daagh]

****************************************


Hum To Uss Aankh Ke Hain Dekhne Waale, Dekho
Jis Mein Shokhi Hai Bahot Aur Hayaa Thodi Si

[Daagh]

*******************************************


Kya Khaak Ladengi, Mere Dil Se Teri Aankhein
Jo Jhuki Hain Sharm Se, Jo Chhupti Hain Hayaa Se
[Daagh]

*******************************************


Sharm Se Aankh Milaate Nahin Dekha Un Ko
Paar Hoti Hain Kaleje Ke Nigaahen Kyon Kar

[Daagh]

*******************************************

Sharma Gaye, Lajaa Gaye, Daaman Chhuda Gaye
Aye Ishq Marhaba, Woh Yahaan Tak Toh Aa Gaye

Moonh Pher Kar Woh Kehte Hain, Bass Maan Jaaiye
Iss Sharm, Iss Lihaaz Ke Qurbaan Jaaiye

Sharma Ke Poochhna Vo Kisi Ka Shab-E-Visaal
Ai Hijr Ab To Dil Ki Tamannaa Nikal Gai

Mere Junoon-E-Tamanna Ka Kuchh Khyaal Nahin
Lajaaye Jaate Hain, Daaman Chhudaaye Jaate Hain

Woh Arz-E-Shauq Par, Ai Kaash Kuchh Na Sahi
Nigaah Neechi Kiye, Muskuraa Diyaa Karte Hain

[Jigar Moradabadi]

*********************************************


Ik Arz-E-Vafa Bhi Kar Na Sake Kuch Kah Na Sake Kuch Sun Na Sake
Yaan Ham Ne Zabaan Hi Kholi Thi Vaan Aankh Jhuki Sharmaa Bhi Gaye

Muskuraa Kar Daal Di Rukh Par Naqaab
Mil Gayaa Jo Kuchh Ki Milna Tha Javaab

[Jazbi]

*******************************************


Wo Sharmaye Baithe Hain Gardan Jhukaaye
Ghazab Ho Gaya Ek Nazar Dekh Lena

[Hasrat Mohani]

*******************************************


Uth'ti Nahin Hain Aankh Magar Un Ke Ru-Ba-Ru
Naa-Deeda Ek Nigaah Kiye Jaa Rahaa Hoon Main

[Jigar Moradabadi]

*******************************************


Ishq-E-Be-Baak Ko Daave The Bahut Khalvat Mein
Kho Diya Saara Bharam Sharm-O-Hayaa Se Pahle

[Firaq]

*******************************************


Simti Hui Sharmayi Hui Raat Ki Raani
Soi Hui Kaliyon Ki Haya Tum To Nahin Ho

[Bashir Badr]

*******************************************


Khoob Pardaa Hai Ki Chilaman Se Lage Baithe Hain
Saaf Chhupte Bhi Nahin Saamane Aate Bhi Nahin

[Daagh]

*******************************************


Parde Parde Mein Ataab Achchhe Nahin
Aise Andaaz-E-Hijaab Achchhe Nahin

[Daagh]

*******************************************


Uthao Aankh Na Sharmaao Ye To Mahafil Hai
Ghazab Se Jaanib-E-Aghayaar Dekhte Jaao
[Daagh]

**************************************

Sharm Aur Izzat Vaaliyaan, Hoti Hain Iffat Vaaliyaan,
Vo Husn Ki Shahzaadiyaan, Parde Ki Hain Aabaadiyaan,

Chashm-E-Falak Ne Aaj Tak, Dekhi Nahin Un Ki Jhalak,
Sarmaayaa-E-Sharm-O-Hayaa, Zevar Hai Un Ke Husn Ka,

Shauhar Ke Dukh Sahti Hain Vo, Munh Se Nahin Kahti Hain Vo,
Kab Saamne Aati Hain Vo, Ghairat Se Kat Jaati Hain Vo,

[Hafeez  Jalandhri]

********************************


Yeh Kahaan Ki Baitho Hazaar Mein Tumhein Sharm Aati Thi Chaar Mein
Yeh To Do Hi Din Ka Hai Maajra Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

[Daagh]

********************************


Ishq-E-Bebaak Ko Daave The Bahut Khalavat Men
Kho Diyaa Saaraa Bharam Sharm-O-Hayaa Se Paha

[Firaq]

********************************


Ghumza-O-Naz-O-Adaa Sab Main Hai Haya Ka Lagaao
Haaye Re Bachpan Ki Shokhi Bhi Hai Sharmaai Hui

Wasl Main Khaali Hui Raqeebon Se Mahfil To Kya
Sharmaa Bhi Jaaye To Janoon Ke Tanhaai Hoi.

[Ameer Minai]

********************************


Adab Hai Aur Yahi Kashmakash To Kya Kije
Haya Hai Aur Yahi Go-Mago To Kyunkar Ho

[Ghalib]

********************************

Post a Comment

0 Comments

–>