Allama Iqbal - Nazm - 'Chaand'

Nazm - 'Chaand'

Mere Weeraane Se Koson Door Hai Tera Watan
Hai Magar Darya-E-Dil Teri Kashish Se Mo’ujzan

Qasd Kiss Mehfil Ka Hai Aata Hai Kiss Mehfil Se Tu
Zard-Ru Shaayad Huvaa Ranj-E-Rah-E-Manzil Se Tu

Aafreenush Main Saraapa Noor Tu, Zulmat Hoon Main
Iss Seeh Rozi Pe Lekin Tera Hum-Qismat Hoon Main

Aah Mein Jaltaa Hoon Soz-E-Ishtiaaq-E-Deed Se
Tu Saraapa Soz-E-Daagh Minnat-E-Khursheed Se

Ek Halqe Par Agar Qaayam Teri Raftaar Hai
Meri Gardish Bhi Misaal-E-Gardish-E-Parkaar Hai

Zindagi Ki Tah Mein Sar-Girdaan Hai Tu, Hairaan Hoon Main
Tu Farozaan Mehfil-E-Hasti Mein Hai, Sozaai Hoon Main

Main Rah-E-Manzil Mein Hoon, Tu Bhi Rah-E-Manzil Mein Hai
Teri Mehfil Mein Jo Khamoshi Hai, Mere Dil Mein Hai

Tu Talab Khu Hai To Mera Bhi Yehi Dastoor Hai
Chaandni Hai Noor Tera, Ishq Mera Noor Hai

Anjuman Hai Ek Meri Bhi Jahaan Rehta Hoon Main
Bazm Mein Apni Agar Yaktaa Hai Tu, Tanhaa Hoon Main

Mehr Ka Parto Tere Haq Mein Hai Paighaam-E-Ajal
Mehv Kar Deta Hai Mujh Ko Jalwa-E-Husn-E-Azal

Phir Bhi Ai Maah-E-Mubeen Main Aur Hoon Tu Aur Hai
Dard Jiss Pehloo Se Utthta Ho Woh Pehloo Aur Hai

Gar-Che Main Zulmat Saraapa Hoon, Saraapa Noor Tu
Saikdon Manzil Hai Zauq-E-Aagahi Se Door Tu

Jo Meri Hasti Ka Maqsad Hai Mujhe Maaloom Hai
Yeh Chamak Woh Hai, Jabeen Jiss Se Teri Mehroom Hai

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>