Allama Iqbal- Nazm- 'Firaaq'


Nazm- 'Firaaq'

Talaash-E-Gosha-E-Uzlat Mein Phir Rahaa Hoon Main
Yahaan Pahaad Ke Daaman Mein Aa Chupaa Hoon Main

Shikastah Geet Mein Chashmon Ki Dilbari Hai Kamaal
Duaa-E-Tiflak-E-Guftaar Aazmaa Ki Misaal

Hai Takht-E-La'al-E-Shafaq Par Juloos-E-Akhtar-E-Shaam
Bahisht-E-Deeda-E-Beenaa Hai Husn-E-Manzar-E-Shaam

Sukoot-E-Shaam-E-Judaai Huvaa Bahaana Mujhe
Kissi Ki Yaad Ne Sikhlaa Diyaa Taraana Mujhe

Yeh Kaifiat Hai Meri Jaan-E-Naa-Shikeba Ki
Meri Misaal Hai Tifl-E-Sagheer-E-Tanhaa Ki

Andheri Raat Mein Karta Hai Woh Sarod Aaghaaz
Sadaa Ko Apni Samajhtaa Hai Ghair Ki Aawaaz

Yun Hi Main Dil Ko Payaam-E-Shikeb Detaa Hoon
Shab-E-Firaaq Ko Goyaa Fareb Detaa Hoon

-----------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>