Raqeeb Shayari

raqeeb rival



Raqeeb Se Bhi Miloon Ga Tumhaare Hukm Pe Main
Jo Ab Talak Na Kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loon Ga

[Akhtar Sheerani]

************************************


Main Is Liye Manaataa Nahin Wasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Duaa Lage

[Qateel]

************************************


Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-E-Raqeeb Se
Daala Hai  Tum Ko Weham Ne Kis Pech-O-Taab Mein

[Ghalib]

************************************


Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaye
Dushmano Ki Bhi Raaye Li Jaaye

[Basheer Badr]

************************************


Wafaa Ke Bhes Men Koi Raqeeb-E-Shahar Bhi Hai,
Hazar Ke Shahar Ke Qaatil Tabeeb-E-Shahar Bhi Hai

[Ahmad Faraz]

************************************


Shauq Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Saamaan Niklaa
Qais Tasweer Ke Parde Mein Bhi Uriyaan Niklaa

[Ghaib]

************************************

Hosh Udne Lage Raqeebon Ke
‘Daagh’ Ko Aur Bewafa Kahiye

[Daagh]

************************************


Khuda Jab Dost Hai Ai ‘Daagh’ Kya Dushman Se Andesha
Hamara Kuch Kisi Ki Dushmani Se Ho Nahin Sakta

[Daagh[

************************************


Dosti Main Teri Dar-Parda Hamaare Dushman
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jee Jaanta Hai

[Daagh]

************************************


Us Ne Kaha Hai Sabr Padega Raqeeb Ka
Le Aur Be-Qaraar Hua Ai Beqaraar Dil

[Daagh]

************************************

Is Tarah Se Hamein Raqeeb Mile
Jaise Muddat Ke Aashna Hain Hum

[Ahmad Faraz]

************************************


Raqeeb Se Bhi Miloon Ga Tumhaare Hukm Pe Main
Jo Ab Talak Na Kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loon Ga

[Akhtar Sheerani]

************************************


Zikr Us Pareewash Kaa, Aur Phir Bayaan Apna
Ban Gayaa Raqeeb Aakhir Thaa Jo Raazdaan Apna

[Ghalib]

************************************


Main Is Liye Manaataa Nahin Wasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Duaa Lage

[Qateel Shifai]

************************************


Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-E-Raqeeb Se
Daala Hai Tum Ko Weham Ne Kis Pech-O-Taab Mein

[Ghalib]

************************************


Tumhari Tarz-O-Rawish Jaante Hain Ham Kya Hai
Raqeeb Par Hai Agar Lutf To Sitam Kya Hai

[Ghalib]

************************************


Sab Raqeebaon Se Hain Na-Khush, Par Zanaan-E-Misar Se,
Hai Zulekha Khush, Ke Mahw-E-Maah-E-Kinaan Ho Gayein.

[Mirza Ghalib ]

************************************


Is Naqsh-E-Paa Ke Sijde Ne Kya Kya Kiya Zaleel,
Main Koocha-E-Raqeeb Mein Bhi Sar Ke Bal Gaya.

[Momin ]

************************************


Jama Karte Ho Kyon Raqeebon Ko,
Ik Tamaasha Hua, Gilaa Na Hua.

[Mirza Ghalib ]

************************************


Ghair Lein Mahfil Mein Bose Jaam Ke,
Hum Rahen Yoon Tishna-Lab Paighaam Ke!

[Mirza Ghalib ]

************************************


Raqeeb-E-Roo-Siyah Ka Kaam Kya Hai Koo-E-Jaanaan Mein,
Is Ko, Shaitaan Hai, Yeh Jannat Mein Ghusa Kyon Hai.

[Rashk Fatehpuri]

************************************


Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne,
Ghair Ko Tujh Se Mohabbat Hi Sahi.

[Mirza Ghalib ]

************************************


Suhbat Mein Ghair Ki Kahin Padi Na Ho Yeh Khoo,
Dene Laga Hai Bosa Baghair Iltejaa Kieye.

[Mirza Ghalib ]

************************************


Ghair Hai Moorad-E-Inaait, Haaye!
Hum Bhi To Tum Se Pyaar Karte Hain.

[Mir Taqi Mir ]

************************************


Tum Jaano Tum Ko Ghair Se Jo Rasm-E-Raah Ho,
Mujh Ko Bhi Poochhte Raho To Kya Gunaah Ho.

[Mirza Ghalib ]

************************************


Woh Hazaar Dushman-E-Jaan Sahi, Mujhe Ghair Phir Bhi Aziz Hai,
Jise Khaak-E-Paa Teri Chhoo Gai, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahin.

[Jigar Moradabadi]

************************************


Saamne Uske Na Kahte, Magar Ab Kahte Hain,
Lazzat-E-Ishq Gai, Ghair Ke Mar Jaane Se.

[Unknown ]

************************************


Jaana Pada Raqeeb Ke Dar Par Hazaar Baar,
Ai, Kash! Jaanta Na Teri Rahguzar Ko Main.

[Mirza Ghalib]

************************************


Mataa-E-Sabr Kho Baithe, Raqeebaan-E-Siyah-Roo Tak
Tumhari Raah Wo Hai Js Mein Kat Jaate Hain Rahzan Tak

[Hairat Allahabadi]

************************************


Deeda-Baazi Hai Raqeebon Se Hamaare Aage
Dekhte Hain Jo Dikhaata Hai Muqadar Ham Ko

[Hairat Allahabadi]

************************************


Aaye Hamaare Ghar Bhi To Naa-Aashna Ke Saath
Hain Meherbaaniyan Bhi Tumhaari, Jafa Ke Saath

[Hairat Allahabadi]

************************************


Tum Ko To Dar-E-Ghair Par Dekha Nahin Lekin
Pahchaante Hain Naqsh-E-Qadam Kah Nahin Sakte

[Hairat Allahabadi]

************************************


Jalaate Hain Hamein Ghairon Mein Baithe
Ba-Rang-E-Sho'la Pahne Pairahan-E-Surkh

[Hairat Allahabadi]

************************************


Baithe Huwe Raqeeb Hain Dilbar Kea As-Paas
Kaanton Ka Hai Hujoom Gul-E-Tar Ke Aas Paas

[Jigar Moradabadi]

************************************


Kya Huwa Us Rashk-E-Gulshan Ko Jo Ghere Hain Raqeeb
Qurb-E-Gul Dekho Hazaaron Hi Gulshan Mein Khaar Hain

[Jigar Moradabadi]

************************************


Guzre Gi Phir Bahaar Isi Raah Se Raqeeb!
Sookhi Hui Zameen Pe Kuchh Ghaas Rehne De

 [Kalim Akhtar ]

************************************


Zamana Garche Mukhalif Hazar Apna Hai,
Dil-E- Raqeeb Mein Phir Bhi Waqar Apna Hai.

[Md.Serajuddin Nezami ]

************************************

Post a Comment

1 Comments

  1. "Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaye
    Dushmano Ki Bhi Raaye Li Jaaye"
    it penned by #Rahat_indOri
    not by #bashir_badr SB.

    ReplyDelete

–>