Sahir Ludhianvi - Nazm - 'Aaj'

Nazm - 'Aaj'

Saathiyo! Main Ne Barson Tumhaare Liye
Chaand, Taaron, Bahaaron Ke Sapne Bune
Husn Aur Ishq Ke Geet Gaata Rahaa
Aarzuon Ke Aivaan Sajaata Rahaa
Main Tumhaaraa Mughanni, Tumhaare Liye
Jab Bhi Aayaa Naye Geet Laata Rahaa

Aaj Lekin Mere Daaman-E-Chaak Mein
Gard-E-Raah-E-Safar Ke Sivaa Kuchh Nahin
Mere Barbat Ke Seene Mein Naghmon Ka Dam Ghut Gayaa Hai
Taanen Cheekhon Ke Anbaar Mein Dab Gayi Hain
Aur Geeton Ke Sur Hichkiyaan Ban Gaye Hain
Main Tumhaaraa Mughanni Hoon, Naghmaa Nahin Hoon
Aur Naghme Ki Takhleeq Ka Saaz-O-Saamaan
Saathiyo! Aaj Tum Ne Bhasm Kar Diyaa Hai
Aur Main — Apna Toota Hua Saaz Thaame
Sard Laashon Ke Anbaar Ko Tak Rahaa Hoon
Mere Chaaron Taraf Maut Ki Vahshatein Naachti Hain
Aur Insaan Ki Haivaaniyat Jaag Uthi Hai

Barbariyat Ke Khun-Khwaar Afreet
Apne Naapaak Jabdon Ko Khole
Khoon Pee Pee Ke Ghurra Rahe Hain
Bachche Maaon Ki Godon Mein Sahme Hue Hain
Ismatein Sar-Barhanaa Pareshaan Hain
Har Taraf Shor-E-Aaho-Bukaa Hai
Aur Main Is Tabaahi Ke Toofaan Mein
Aag Aur Khoon Ke Haijaan Mein
Sar-Nigun Aur Shikasta Makaanon Ke Malbe Se Pur Raaston Par
Apne Naghmon Ki Jholi Pasaare
Dar-Ba-Dar Phir Rahaa Hoon
Mujh Ko Amn Aur Tahzeeb Ki Bheek Do
Mere Geeton Ki Lai, Mere Sur, Meri Nai
Mere Majrooh Hoton Ko Phir Saunp Do

Saathiyo! Main Barson Tumhaare Liye
Inqilaab Aur Baghaawat Ke Naghme Alaape
Ajnabi Raaj Ke Zulm Ki Chaanv Mein
Sarfaroshi Ke Khwaabeeda Jazbe Ubhaare
Is Subah Ki Raah Dekhi
Jismein Is Mulk Ki Rooh Aazaad Ho
Aaj Zanjeer-E-Mahkoomiyat Kat Chuki Hai
Aur Is Mulk Ke Bahro-Bar, Baamo-Dar
Ajnabi Qaum Ke Zulmat-Afshaan Farere Ki Manhoos Chhaanv Se Aazaad Hain
Khet Sona Ugalne Ko Bechain Hain
Vaadiyaan Lah-Lahaane Ko Betaab Hain
Koh-Saaron Ke Seene Mein Haijaan Hain
Sang Aur Khisht Be-Khwaab-O-Bedaar Hain
In Ki Aankhon Mein Ta’ameer Ke Khwaab Hain
In Ke Khwaabon Ko Takmeel Ka Roop Do

Mulk Ki Vaadiyaan, Ghaatiyaan, Khetiyaan, Auratein, Bachchiyaan
Haath Phailaaye Khairaat Ki Muntazir Hain
In Ko Amn Aur Tahzeeb Ki Bheek Do
Maaon Ko Un Ke Honton Ki Shaadaabiyaan
Nanhe Bachchon Ko Un Ki Khushi Bakhsh Do
Mere Sur Bakhsh Do, Meri Lai Bakhsh Do
Aaj Saari Fazaa Bhikaari Hai
Aur Main Is Bhikaari Fazaa Mein
Apne Naghmon Ki Jholi Pasaare
Dar-Ba-Dar Phir Rahaa Hoon
Mujh Ko Phir Mera Khoya Hua Saaz Do
Main Tumhaara Mughanni Tumhaare Liye
Jab Bhi Aaya, Naye Geet Laataa Rahoon Gaa

                       -----------------


Post a Comment

0 Comments

–>