Sahir Ludhianvi-Nazm- Isi Do-Raahe Par

Nazm- Isi Do-Raahe Par



Ab Na In Unche Makaanon Mein Qadam Rakhoon Ga
Main Ne Ik Baar Ye Pahle Bhi Qasam Khaayi Thi
Apni Naa-Daar Muhabbat Ki Shikaston Ke Tufail
Zindagi Pahle Bhi Sharmaayi Thi, Jhunjhlaayi Thi
Aur Ye Ahd Kiya Tha Ke Ba-In-Haal-E-Tabaah
Ab Kabhi Pyaar Bhare Geet Nahin Gaaoon Gaa
Kisi Chilman Ne Pukaaraa Bhi To Badh Jaaoon Gaa
Koi Darwaaza Khulaa Bhi To Palat Jaaoon Gaa
Phir Tere Kaanpte Honthon Ki Fusun-Kaar Hansi
Jaal Bunne Lagi, Bunti Rahi, Bunti Hi Rahi
Main Khincha Tujh Se, Magar Tu Meri Raahon Ke Liye
Phool Chunti Rahi, Chunti Rahi, Chunti Hi Rahi
Barf Barsaayi Mere Zehn-O-Tasavvur Ne Magar
Dil Mein Ik Sho’la-E-Be-Naam Sa Lahraa Hi Gayaa
Teri Chup-Chaap Nigaahon Ko Sulagte Paa Kar
Meri Be-Zaar Tab’iyat Ko Bhi Pyaar Aa Hi Gayaa
Apni Badli Hui Nzaron Ke Taqaaze Na Chhupa
Main Is Andaaz Ka Mafhoom Samajh Sakta Hoon
Tere Zar-Kaar Dareechon Ki Bulandi Ki Qasam
Apne Aqdaam Ka Maqsoom Samajh Saktaa Hoon
Ab Na In Unche Makaanon Mein Qadam Rakhoon Ga
Main Ne Ik Baar Ye Pahle Bhi Qasam Khaayi Thi
Isi Sarmaaya-O-Iflaas Ke Do-Raahe Par
Zindagi Pahle Bhi Sharmaayi Thi, Jhunjhlaayi Thi
  --------------------

Post a Comment

0 Comments

–>